XRP Price up and SEC Lawsuit ImpactAsslam o Alikum mere bhaiyo, kese hain ap sab
XRP ab $0.51 par trade ho raha hai aur Q4 2023 ke liye achi tawaqo hn jis mein $1 ke qareeb pohnchna mumkin hai. Haal hi mein SEC ke muqadmay ka fazool karaar Ripple ke liye market par bharosa barha diya hai.
Ripple ki up kamet taqat American Express, Santander aur MoneyGram jaise companies ke sath mil kar zahir hai. On-chain analysis se maloom hota hai ke whale activity mein izafa hua hai aur token holding mein izafa hua hn jis se XRP mein barhne wale interest ko darust kiya jata hai.
XRP ke qeemat mein ya shadeed izafi raftar ke sath jana ja sakta hn jabke SEC ke muqadmay ka asar kamzor hota ja raha hai.
https://www.cryptonewsz.com/xrp-price-prediction-for-q4-2023-will-sec-lawsuit-impact-price/ walekum asalam bai jaan bari achi baat hai ke xrp ki qeemat main izaafa daikny ko mil raha hai.lagta hai ke xrp ki team aur sec ke darmiyan koi darmiyani raasta nikal raha hai,aur dono fareeq kisi point per razi ho rahy hai,kiyonky bahot purana masla chal raha hai,jis ki waja se xrp holders kafi azeeyat se guzry hain,bahar haal dair aye drust aye.agar xrp ke leye kuch achi khabar aati hai to yaqeenan xrp holders ke leye achi baat hai,aur xrp zaroor pump kary gi.
xrp ki coin ki qeemat pump kar rahi hai.0.47 dollatr se 0.53 dollar tak gai hai ,magar 0.55 ke resistance ko break nahi kar pai hai.agar xrp is resistance ko break karti hai to pechly pump main jab judge ka faisla xrp ke haq main aaya tha aur xrp 0.93 dollar tak gai ti ,os tak abhi nahin gaya hai.mery khayal main xrp os target tak tab hi ponch paye gi agar mazeed koi achi news aati hai.isleye felhaal ho sakta hai qeemat idhar hi up down hoti rahy.lekin aik umeed paida ho gai hai,jo yaqeenan achi baat hai.