Hahaha bahi aysa nahe kehte bura lagta ha kamzkm etni bari parti ha wo leader ha oss ka aur dusra ye ke wo es bar economy ko tek karne ke leye aarha ha.Ek andar ki bat batawo nawaz sahab ki deal ho gaye ha establishment ke sath aur deal ye huwi ha ke afghnistan , america aur india ke sath forigen policy ma ye koi be bat nahe karega ye serf economy ko handle karega aur company economy ma dakhal andazi nahe karege ye deal huwi ha aur dusra ke Bajwa aur faiz ke accountability ka be koi zikar nahe karega q ke sa ne kaha ta ke jab ma power ma aunga tu en 2 generals ka courtmarshil hoga . Tu bas yahe update ha aj ka aur tammam PMLN walo ko buhat buhat mubarak ho ek tu en ka leader aya ha aur dusra ane wali govt be en ki hi ge tu advance ma ap ko buhat buhat mubarak ho .
Is se aik baat to khul kar samny aagai ke jo bhi sayasi parti apni marzi ki hakumat karna chahy gi os parti ko hamari establishment kabhi bhi iqtedar main nahin chory gi.yahni jo hamari establishment kehti hai ke sayasat main hamara koi amal dakal nahin hai,wo sub jhoot hai.ye khabi bhi pakistan ki sayasi leaderon ko mulk ki taraqi nahin karny den gy.foregn policy mulk ki taraqi main bari asarandaaz hoti hai,agar aap ki parosi mumalik ke saat tahloqat behter hon gy to hi aap mahishat ko mazboot kar saken gy.
agar aap apny parosiyon ke saat her waqat halat e jang main hon gy to aap kaisy taraqi kar sakty hain,kia hamari establishment ko ye baat samaj nahin aati,liken mery khayal main wo her haal main pakistan ko jang main rakhna chahty hain,aur aisi jang jis main log maren,pakistan ki maheshat barbad ho,mulk main badamni ho,magar dollars aaty rahen.aisy main maheshat kaisy koi government teek kar sakti hai.bahar haal ye to pata tha ke gernailon ka khabi bhi ihtesaab nahin ho ga,chahy wo kuch bhi karen,ihtesab sirf sayasi logon ka ho ga,adalaten sirf sayasi logon keleye hain,naib sirf sayasi logon ke leye hai,jahan sayasi logon ko chakar pe chakar deye jaty hain,aur 200,200 muqademat darj kiye jaaty hain.pata nahin is mulk per khabi awaam ki hakumat bhi aa saky gi ya hamesha establishment hi hakoomat kary gi.