New coin Meme coin(MEME) Review
Kal Binance launchpad par ek new coin aya MEME k name se tho socha us k hawale de kuch share kia jae q k kisi ne bi uska zekar nahi keya yaha par. eska free points be mel rahe ha aur ek ache opportunity ho skate ha airdrop ki
Introduction:un k website ma jae tho apko us k project k baare pata chal jaega k ye nothing project hai matlab na koi utility aur na he usecase yaha thak k team aur roadmap ma be nahe hai. website se pata chalta hai k en k kuch nfts hai jo
MVP, CAPTAINZ aur POTATOZ k na se the aur us hesab se unko airdrop b milega. es k elawa crew walo ko private sale ma participation milege.
Token detail:jab coin hai hee memecoin tho sab ko pata he hoga k supply high hee hogee. G ha es ki supply only 69 billion ha aur un m mutabiq starting price 0.001$ hogee tho es hesab se ye easily Doge k price ko cross kar sakta ha.
Ab maze ki bath ye ha k ye token Binance launchpad par b aya jaha sale b hoga aur sath ma bnb stake k sath apko un k token free ma milege magar I will not recommended balke mana karonga q k ma 2 martaba nuqsan kar chuka hoo. agar ap bnb k holder nahe tho jaise he ye launchpad ki news aathe ha whale bnb buy karte hai aur ab agar ham buy karege tho 5% up ma buy karenge aur jab snapshot lia jaega tho us waqt thak price dump karte ha aur apka 10$+ nuqsan hojaega agar ap 1 bnb lethe ho aur token 2$ se b kam profit ma meltha ha q k log high volume ma bnb stake karte ha. stable coins se b meltha ha magar wo b kaafi kam quantity us se milthe hai. jab thak 10k$ wala na ho tho kaam nahe chalega
Binance per aksar istarah ke token launch hote rehty hain,magar is ka zyada faida un logon ko hota hai jin ke pass bari amount main bnb ya stable coin maujood hon,hamary jaisy log aisy launch pad se koi khas faida hasil nahin kar sakty.isleye main zaati tor per Binance ke kisi aisy program main hisa nahin lete,jis main faida milny ki bajaye nuqsaan nazar aata ho.
Binance free main khabi bhi kisi ko acha munafa nahin deta,mujy 2 saal ho gay Binance main aisa koi event nahin daika jis main kam sarmaya waly ko koi faida mila ho,agar dosry exchange ko daiken to kucoin ,bybit aksar aisy event karwaty hain jis main her aik keleye barabar munafa ke chance hoty hai,is lehaaz se binance mujy sirf ameeron ka exchange lagta hai.baharhal mery khayal main meme coin main sarmaya kari bahot risky bhi ho sakti hai,kiyonky jo log pehly se public sale main buy kar lety hain wahi acha munafa kama sakty hain ,baad main aany waly pans sakty hai,isleye ihteyaat ki zyada zarorat hai.