Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
GbitG
on 28/10/2023, 17:34:14 UTC

Be attention (Sargodha maa iK he garana kaa 126 afraid margyai kana maa Toxic kana saa): Source

Tafseelat ke mutabiq  ek ghar mein fotgi ke mauqe par khana taqseem kiya gaya, jaise hi awaam ne khana khaya to logon ki halat kharab hone lagi. Ek ke baad doosre, doosre ke baad teesre shakhs ki halat kharab hone lagi, aur log girte chale gaye.

Thorhi der mein mutasireen ki tadad sao ke qareeb pohanch, tahqeek ki gayi to pata chala ke gandum ki paspai ke waqt gandum ki Toxic goliyan aate mein pis gayi thin, jis ki wajah se itne bade paimane par log mutasir hue hain. Darjano ki tadad mein logon ko T.H.Q Sialanwala aur iske baad ab D.H.Q Sargodha muntakil kiya ja raha hai.

Taza tareen maloomat ke mutabiq ek shakhs jaan behak ho gaya hai.

To is news ko share karne ka maqsad yeh tha ke aksar gaon ke log isi tarah ke maamlat mein ghaflat ka shikar hojate hain aur apni laparwahi ki wajah se apne janon ka nazrana kar dete hain. To isi tarah ke masail mein hamesha aware rahe kyunke ek choti si ghalti aapko maut ke ghat utar sakti hain.
Mazeed yeh ke is mutasir logon ne khane mein zehreeli goliyan khai hain jo aam tor par gandum ko insect aur digar se bachao ke liye istemal hota hai, jis ko English mein aluminium phosphide hain. Jis ke side effects bohat Taz hota haa. Jis ko kana sa foran hee few min ka andar throat, stomach maa pain or vomiting feel hona shora hota haa or Sath he breath maa hurdle or vomiting maa blood ana shora ho jata haa or is ka end result death ka ilawa or Kuch nhi ho sakta.
To kahna ka Matlab ya taa kaa jab bhi kio ase Gundam ataa wagara ke istimal Karna ho to osko khub saf kar ka pir istamal ma laya kar warna otherwise app ka Sath be yahi waqi pash a Sakta haa.