WaalaikumSalam, yes bro jistarah provious kuch Bando NY explain Kiya ky jab ap Kisi group Mai mesg karty haa for a help toh apko same admin ky name aur pic jaisa Banda PM kardy ga aur apko ajeeb aur ghareeb cheezy batai ga jisko follow karty howy ap account sy hath do baityngy. Mostly trusted aur real bandy Kabhi bhi apko pahly mesg Nahi karty mostly yeh scammer hi hoty ha so Issy avoid kary aur apny apko khud protect kary.
Jis trah zamana modern hota ja raha haa wardaat Ki shape bhi change ho rahe ha Abhi scammer ka ik new strategy haa jab koi new airdrop Aata haa toh usky claiming Ky liya ik site banwaty haa ya apni site pa daity haa toh scammer same name sy fishing site banwa ky google Sy ads ky through top pa laata haa real site sy bhi opper toh airdrop ky 1000 Mai Sy km iz km 200 user waha jaty haa account connect karty haa aur boom unka wallet Gaya so be aware
Belkul bhai aisa hi hai kesi project ka be admin ho wo bar bar ye mesge karte hai telegram group may ky admin 1st messge kesi ko nahi karta hai pher be log dohke ma ajate hai aur un logo ka wallet hack ho jate main account pher bad may koi airdop waghera ajate hai pher wo bechary afsos karte hai. Mene tabhi ye post kiya aur pic diya ky sub ko pata chale ky koi be dost is kesam ky logo pe trust na kary q ky aisa karenge to unke wallet ho jaynge. Mera maqsad yahi ta ky wo kes kesam ky logo ko bewaquf banate hai q ky bhut new log pher check karte hai nahi aur wallet connect kar lete hai. ap ne sahi kaha ky aj kal har koi new tareeky se logo ko phasate hai. bs har koi hoshyar rahe.