Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
ZAINmalik75
on 03/11/2023, 17:29:52 UTC
Bhai ap kuch yaha miss kar rahe hai. halal income mehnat k sath jura huwa nahe ha balke shariat k ahkam k sath jura huwa hai. sharab banane wale jitni mehnat ksrta ha utni mehnat mobile buy sell wala nahe karta magar sharab bnane wala ka paisa haram aur mobile buy sell ka paisa 100% halal. Halal , haram dekhne k liye hame shariat ko dekhna parega k fiqha kia kehta hai aur kis had thak ijazat detha ha aur us k sath chalna parta hai. online k dunya ma gambling sab se ziada urooj par ha haram kaam ma aur sath sath Future trading tho yaha par ham ko ehteyat zarori hao.
100% agree with you brother. Yeh baat teek ha halal Haram Ki nisbat mehnat Sy Nahi shariyat ky akhamat Sy jure Howe haa, but ap ny neechy future trading ky baary Mai baat Ki, toh Mai apko yaad dilwao ky apky account posting ban Sy pahly Mai NY ap Sy kuch sawalaat Kiya ty iss topic pa but woh rehh Gaya account Jo ban taa so Mai Abhi dobara pooch laita hu ky future trading aur Forex trading two aise cheezy ha Jo market Mai kafi trend pa haa log iss Mai kafi involved haa.

So different ulmaah ka isky baary Mai different bayanaat haa Forex ka toh mostly log Haram kehh raha haa ab yeh maloom Nahi q, but agr future trading Ki baat kary toh koi halal kehh raha haa toh koi Haram toh ab hum confused ha kis Ki taraf jai. Agr apny ilaky ky ulmaah Sy poochy toh woh iss Cheez pa zyada knwoledge Nahi rakhty so USS sy toh pooch Nahi skaty Baki ap thoora explain kardy ky apki rai Mai Forex aur future trading kaisee haa, agr thoore ahadees aur quraan Ki roshini Mai explain kardy toh Kal Kisi ko proof dainy ya smajny Mai ya khud samajny Mai asani Hoge