Assalamalikum to all my dear community, Aik ahem miqdar mein ETH centralize exchanges par jama kar di gayi hn jis se exchange balances mein izafa hua hn. ETH ke is influx se Ethereum ke liye $2,000 resistance level ko paar karne mein aik potenti hurdle utpann ho sakta han. Jab ETH ki qeemat $1,800 se upar gayi to investors ne aik bohat bari quantity mein ETH ko exchanges par bheja aur iske natijay mein November 1 tak lagbhag 130k ETH exchange par aayi.
Baqii Is influx ke sath sath kayi investors ne apni holdings se munafa hasil karne ki koshish ki jab unka munafa wapas aya. Halankay ETH ke influx ne November 2 tak thora sa kam ho gaya han but isse pehle ke hafton ke mukable mein woh ab bhi ziada hain. Iske ilawa Ethereum ne apne network par large transactions ki tadad aur volume mein izafa dekha hai, jo large holders ke darmiyan ziada activity ko darust karta hai. Bulls market ko control kar rahe hain kyun ke buyers ke mukable mein sellers ziada hain
Source.
Brother, apny achi or quality information share ki ha mgr mein strongly believe kerta houn k technical indicators/charts k analysis koi perfect science nhi ha. it is a science of probability which is entirely based on historical data. Yeh market k sentiments ko reflect kerty han or en k base pe predictions kabi bi 100% accurate nhi ho sakti. Esliye investment kerny se pehle fundametals ko bi zarur dekhna chaye.
Jahan tak Ethereum ka taualk ha mere khayal mein yeh kafi undervalued ha or $2000 se oper es liye nhi ja reha k pichly dono staking rewards release hoi han jis ki supply br gai ha or demand kum ha.
Historically, Bitcoin or Ethereum ka jo corelation has uski ratio 1:0.8 bnti ha jis k hisab se apko 1 Ethereum buy buy kerny k liye 0.08 Bitcoin ki zarurat hoti ha mgr ajakl yeh ratio 0.0528 bnti ha es liye mere khayal mein aany waly dino mein potentially kafi br sakti ha. Yeh mera analysis ha jo ghalat bi ho sakta ha esliye koi bi trade lene se pehle apni research zarur keren. DYOR