Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Fighter hero
on 06/11/2023, 05:30:35 UTC
Brothers, although future trading kerna or gambling campaigns ko join kerna her individual ka apna personnel decision hota ha or wo apny es amal ka khud zimmadar hota ha. laikin Islamic point of view se toh future trading or gambling ki campaigns k bary mein mujhy toh bilkul clarity ha k yeh sahi nhi han or en ko avoid kerna chaye. Future trading borrowed money se hoti ha jis mein interest element shamil hota ha or esi trh gambling mein akser casino hee winner hota ha or gamblers aker lose kerty han jo k akhalki point of view se bi theek nhi ha. Koi bi aisa business/trading activity jis mein 95% tak participants losers hon or sirf 5% winners yeh ethical point of view se kasy theek ho sakta ha. Baki Allah ho alam bissawab.

https://www.youtube.com/watch?v=tI1r3kNVPCA

Belkul bhai apne sahi kaha ky future trading aur gambling karna sahi nahi hai ye ek juwa hai jo ky islam may haram hai muje lagta hai ky har kesi ko s cheez se bachna chahie future trading aur gambling se hame ek cheez join karne se pehle hamesha resurch karna chahie ky jo cheez kes cheez ky bary may hai. uske bad pher join karna chahie mene hamesha yahi kushish ki hai ky agar ek cheez gambling may ajati hai chahe waha se muje 10000$ profit be ho may wo ignor karta ho bhut se aisy log hai jo ky lalach ya pher ankhen band kar ky join karte hai jo ky sahi nahi hai mene bhut deke hai jo future trading karte hai ek din wo barbad ho jate hai aur dekehe be hai mene khud baqi har insan ka apni marzi hai apna zamir hai magar future trading aur gambling cheezo ko join na kary yahi behter hai.