Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 07/11/2023, 09:22:29 UTC

App ki baat 100% sahi hy but meri ais baat ka jawab daay do app k app kehtay ho k gambling sites ki campaign thiek ni kion k aun ka maqsad gambling ki promotion hy na k humari posts quality (ais p kafi discussion ho chuki hy)

Gambling discussion mein jo cricket ka section hy, woh gambling k liey hy, mutlab k app jo bhi discussion kertay ho, that is for the help to bet in gambling.

Bitcointalk mein koi sports ka section hota tu app kethay k yeh section sports ka hy but jab gambling ka section men app sports p baat kertay ho tu app ka maqsad jo bhi ho...woh section betting ki help k liey hy. Mutlab k app k anaylsis c log, bet laga sakein gay k kon c team bethar hy.

Tu bhai humari sari posts gambling discussion mein, gambling ko hi promote kr rei hien aur gambling k threads ko bump kr rahi hein aus ais tarah hum gambling ko promote ni kr rhay Huh

Sab ko pata ha k Bitcointalk ma bahot se aise discussion ha jis k liye direct koi section nahe bnaya gia aur wo dosre related section ma us par discussion hothe hai. Bitcointalk ma belkul sports ka koi b section nahe hai aur gambling ma ap sports ki discussion kar sakte ha chahe jo b ho. Yaha par Gambling sirf juwe k liye nahe hai balke ye lafz aam ha k tamam wo game jin par gambling mumkin ho tho wo yaha discuss hothe hai. Cricket k jitne b threads hai, yaha koi b gambling ka zikar thak nahe karta aur kare b tho 1%. esko ham nshe keh sakte k ye gambling ko promote karna hai bal k jab thak koi aur section na ho thab thak yahi section sports discussion k liye b hai.

Baher hal agar koi gambling ma post na kare tho thaqwa hai aur behter ha jaise k hamza aur Faisal bhai karte hai. agr koi yaha sirf cricket aur dosre games jo k real life ma b jaiz ha sirf normal discussion kare tho koi muzaiqa nahe.

baqi ap gambling signature ko es se relate karna chahte hao tho ye qiyas sahe nahe q k ye qisas ma al fariq ha yani k waja elat dono ma juda juda hai. signature ma ham baqaida ek advertising banner lagtae ha aur ek contract k taur par kam karte ha jis par ham ko uska muawza milta hai. ye short jawab hai agr discussion ziada huwe tho real life ma kaafi es k misaale mil jaege.