Ye iqdaam muje acha nahe laga q k jis user ko pata nhe ha uska important data including videos, documents zaia ho jaega,. Jo user kisi waja se access nhe kr sakte aarzii tor par unko b ye issue hoga. I think etni pabandia krna sahee nhe hai google k liye. ab log koshish krege decentralized online mail ki taraf jis par already Dmail ne work start kia huwa ha. Multiple mail khtam krna ka ek hee elaj ha k ek mail k sath ek Mobile number attach ho aur lazim ho sab ko
Apki baat bhi Sahi haa ky kuch user kuch wajohaat hi wajh sy apny emails ko access Nahi karsakyngy toh waqi Mai Inka data zaaya hojai ga. But yeh Jo saary ikdaamt haa Iska koi announcement Nahi haa ky kab hoga start Howa ha ya Nahi so agr forum Mai kisi ka aisa problem ha toh koshih kary ky deadline Sy pahly apni Cheez behtr karne Ki koshih kary. Aur istarah Ki cheezy centralized cheezo Mai aam hogaye chahy woh kraken exchange ka USA government ko data provide Karna ho ya aur kuch yaha pa AAP chaa ky bhi kuch Nahi karsakty. So bs decentralized cheezo ko abhi Sy adopt Karna behtr hoga
Kisi ko Dmail ka pata ha yaha par? unka presale b ghaliban start ha ya end huwa ga.
G Mai janta hu, pahly idea Nahi taa but airdrops ky liya uss Sy ab zyada interaction hota rehta ha, daily points bhi claim karny hoty haa so bs wohi Sy dmail ko Jaan liya aur mujy laghta ha yeh potential airdrop hosakta haa