Bhai ap ki Pakistan sai mohabat apni jagga per aik cheez man lo program wer gia hai kiunkai in sai 500+ ki umeed nahi ki ja sakti ko kai umeed hai Pakistan last four mai janai ki sab sai pahlai toos jeetai aur phir 500+ agar ya do kaam ho gai to phir teesra hai 211 kai ander out karai phir kahi spot available hai aur ap hud batai yai momkin hai in sai. baki acha ghailai hai aur South Africa wala decision bee in kai helaf hai is liai mai in ko average sai bahter team kaho ga umeed hai ab wapis aa ker Australia kai tour kai liai achi mahnat karai gai aur koch bahter karai gai agar internal politics na hoee to warna thorai arsai kai lia team farigh hai jaisa yai ghailiai hai yaha india mai is world cup mai.
Aap teek kehty hain hum sub ko pakistan se bahot muhabat hai,magar jab is tara ke halaat hoty hain to saat main ghusa bhi aata hai,aur jab aik nalahiq aur kamzor team ka intekhab kiya jata hai,to pir aisi team se belkul bhi muhabat nahin hoti,logon ko daikta hon to aksar duaen mangty hon gy ke agar ye ho jay ya wo ho jay to pakistan aagy ja sakta hai.
Magar main ne aaj tak is world cup main aik dafa bhi is team ke leye dua nahin mangi,kiyonky hum hamesa duaen mangy ge,kia ye apni karkardgi bhi khabi dekhaen gy,kia board sirf pakistan ke logon ke duaon pe chalta hai,lakon karoron ke marahat ,tankhwaen kis cheez ke lety hain,belkul bhi in ke leye dua nai karni.
Kal yahni 10 november ko hamara captain aur Imam ul haq india main apni shoping kar rahy te.un ko koi perwa nahin apni shoping main masroof hain,aur idhar hamari qaum jo farig baiti hai wo duaen pe duaen mangty hain.jo jis kaam ka muhaweza le raha hai,wo itna parshan nahin jitna hum hoty hain.baharhaal ye jo aap ne andazy lagaye hain aisa bahot muskil,balky namumkin nazar aata hai.