Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
ZubairC
on 14/11/2023, 13:54:48 UTC
Assalam o alaikum umeed hai sub dost kheriat se hongy main kuch zati masrofiat ki waja se ajj kafi time baad online howa houn.
ajj ap se ik zarori bat shear karta hu hum aksar sonty hain k is cheez ka bycote kro to ajkal hum ne isreal ki banai gai cheezoun ka bycote krna hai aur jo lag ye samajty hain k is se kia ho ga on k liye main etna batata chaloun k ye hekmat amli kisi aam insan ki nahi hai balky khud Hazrat Muhammad s.a.w.ki hekmat amli hai jab mareeni se dhoor madina se bahir yahoodiyn ne khud ko khyber ki kaloo main mehsoor kar liya ta aur khyber k kally bahot mazboot faseelpoun py bany te is k aas paas ki deewary is kadar mazboot ti aur is elaky ki sakht aisi ti k bakiya zameen neechy ti aur khyber kkally onchai par waqiya te
in ki sazesho se tang a kar jab Nabi kareem s.a.w ne apny lashkar samet in par yalghar ki to mushkel tab pesh i jab agar ye neechy se ter b barsaty to teer waps nechy a jata ta kaafi roz tak mohasra jaari raha. yahodyon ne apni zarorat ka saman apny sat sore kar liya ta ab bahir se hamla karna besood ta kai roz tak hamly kiye gaye leken sub k sub besood rahy. pher Nabi akram s.a.w ne ye hekmat amli pesh ki k yahodyon ki maishiayt ka daromadar in kajoor k bagho py hai jin ko farokht krny k bad ye apni zendagi main magan hai aur in pas sona chandi hai jin pay in ki mashiyat inhesaar krti hai to hazrat Muhammad s.a.w ne on kajoor k drakhto ko katny ka hukum diya jab drakt kat diye gaye to yahodiyon k hosly past ho gaye phr is py bahot yahodiyon ne sayrender b kiya aur bahiot mary gaye
isi tarah Hazrat Muhammad s.a.w ne phly onki mashyat kamzor ki phr on k hosly past kiye jis se onli zendagi ko tabah kiya. isi tarah ka mila jola tasur ajj b hai ajj agar app bahot cheekain b nmarain t wahan ni punch rahi aur aam admi kuch b ni kar sakta hamary pas to woh hatyar b nahi jo philastin par gerai ja rahi hai
lehaza ap k hat main boycott ki kolharhi hai ye tamam product jo isreal ki hai ye yahodiyon ki on kajoro ki drakht jaisa hai agar ap in ko kaat dain to yaqeenan is k asrat zaroor ponchy ge. to kam se kam isreal ki product ko khatam kar dain aur gahr main na laye.