Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
HONDACD125
on 14/11/2023, 18:19:41 UTC
Online scams of bitcoinin 2023


 : Dunya mai hamesha scam hote rehte hai ...aaj kal jo k online trading aur bitcoin trading k zamana aya hai...toh waqt k hisab se scamming ke tarikae Badal gayee ...yaha per kuch tarekee hai jo scammers logo ko scam karne k liye use karte hai ...
Blackmailing "is tareke mai scammer apke personal information ko hasil karte hai aur phir apko Blackmail karte hai k ap inko apne assets ka information dete hai "..
Business opportunity scam " is tarah k scam mai wo apko business badhane ka lalach dete hai k wo apke digital currency ko double triple kar dega"...
 Fake Job listing scam is tarah k scam mai scammerfake job ko list karta hai apne shikar ko talaash karne k liye .is tarah k scam mai wo zyada tar apko kehte hai k pehle ap humai kuch amount send karde registration aur in jese cheezon k liyee."
 Give away scams is tarah k scam mai wo aksar apko gift ya kuch amount dete agar ap unke batayee hoye tareeke per chalte hai aur wo apke information chori kar lete hai"
pump and dump scam   ...is type k  scamming mai log aik coin me investment  karne k liye trend banatee hai social media k different platforms se aur log isme invest kar dete hai ..

Be aware of these type of scams...the scammer use mostly these type of scams to steal your information and investment..

Inshallah soon I will post more about these type of scams ...
source

Online aksar scamming ka khatra bahot zyada hota hai,is leye net se her waqat jury rehny ke leye bari ihteyaat ki zarorat hoti hai.aap ki information bari mufeed hain,aksar nay log istarah ke scame main bahot zyada pans jaty hain.is leye aisi ksi bhi shak wali jaga pe bahrosa nahin karna chahyee.

mery khayal main hum jaldi is waja se bhi scame ho jaty hain ke hum lalach main ajaty hain,wo aik kahawat hai ke agar dunya main bewaqoof aur lalchi na hoty to dhoky baaz bhooky mar jaty.is leye hamen lalach main khabi bhi nahin aana chahyee.short cut main khabi bhi ameer banny ka khwab nahin daikhna chahyee.hamesha apni mehnat se aagy barhna chahyee,koi hamara itna kairkhwa nahin hai ke hamen asani se sarmaya double kary ya give away de.