Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 2 from 1 user
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 20/11/2023, 15:45:42 UTC
⭐ Merited by hugeblack (2)

My ap Ki baton sy satisfy nai hun mujy Bhai satisfaction chahye.

Mere piare bhai , Satisfication Ilm ki baqadar hothe ha. Ap Islam par satisfied ha magar kafir nahe, es tarah deen k bahot se maamlo ma ham satisfied ha magar dosre log nahe hai q k wo apne ilm k baqdar he sochta ha. meri bathobse ap satisfied nahe hai magar signature gambling ma aise konse daleel ap ko paish huwe k ap bina daleel k satisfied huw.

Ab ap ny Sood KY lafzi MATLAB par hi Neha's kar di jab KY Sood ka waziya Hukam Hy KY nai Lena to nai Lena. Issi tarah Sharab KY Bary my BHI Agar Qur'an my Hukam Hy to Bhai Hadees Shareef my BHI Hukam Hy Qur'an my naa peeny kaa Hukam Hy to Hadees my Kaha Gaya KY ye 10 sy 20 admi BHI Jo iss sy munslik hen jahanum my Jaen gy.

G bhai bahot acha, Acha sood ki tareef ap kia karenge? Qarz dekar ziada paisa lena? ya kuch aur b?

Sir Islam EK mukamal zabta Hayat hy.

G bhai yahi tho ma keh raha hoo k Islam mukamal pehloo ma rehnumai karta ha. Islam riyast ma faisla Fiqha par hothe hai. ap ye nahe keh sakte k muje sirf Quran aur hadees se ye hukam dekhae q k waha kuliyat hothe ha. ab chars haram ha magar kahe b hadess aur qurab ma zikar nahe. es tarh afeem, easypaisa par sood lena etc .

Yani Agar Qur'an my nai to Hadees my USS kaa zikar zrur hoga. Or Hadees my nai to Sunnat my hoga or Sunnat my nai to PHR Imama E ummat ajati hy.

bhai hadees aur sunnat ma kia farq hai?

Yani Ijmaye ummat wahan aati hy sir Jahan koi masla Qur'an on Sunnat or Hadees my naa ho yani Jesy mobile kaa use. Ab Hadees Shareef my yaa Qur'an yaa Sunnat my iss kaa zikar nai milta. Lekn log use karty hen. Q KY Ijmaye ummat hy. 

hahaha bhai ijmae ummat esko nahe kehte ye tho logo ka amal ha. Ijmae umaat se murad Mujtahideen ki rae ha jo Quran aur hadees se mustanbit ho.


Ab gambling kaa Hukam BHI Aya or AP (S.A.W) ky dor my BHI gambling Thi to USS par Hukam agya. Or sharab par BHI Hukam agya. KY iss sy munslik 10 sy 20 admyon ka BHI Hukam agya.
Ab gambling my sirf gambling Karny waly ko hi Galat Kaha Gaya. Agar iss sy munslik 10 sy 20 logon Ki mumaniyat Hoti to Hukam ajata.

Again in conclusion mujy ye btaen Kaya kahin Hukam mojud Hy Jesy Sharab KY mutaliq Hukam agya or Islam ny khol kar bayan kar Diya. Ab gambling my gambling Karny waly ko Galat Kaha Gaya. Baqi iss sy munslik Kissi ka Hukam Hy to dikhaen.

Quran ki ek ayat he es k liye kaafi ha k gunah (ism) aur zulm(udwan) k kamo ma thaawan na kare. ap es ayat ki tafseer dekhe. Nabi ﷺ k zamane se le kar aj thak kisi ne ye kia ho k ek haram kaam ko khud na kia ho magar dosro ko dawat detha ho aur daleel ye detha ho k ma kisi ko majbor tho nahe kar raha. Ye tho shaitan b kahe ga k ma ne kisi ka hath pakar kar esko ghalat kam par nahe lagaya , ma ne tho sirf waswasa dala.

Bhai mujy satisfaction chahye. Phr my koi fesla Karun Ga KY ye theak hy KY nai hy?

Or rahi bat signature campaign KY contract sign Ki to my ny sirf contract sign Karna hy KY my ap ka signature wear Karun gaa par Mera link koi open kary yaa naa kary koi gambling kary ya naa kary iss sy Mera koi taluq nai hy. To jab my ny Kissi ko force kar KY nai Kaha naa hi company mujy force kar rahi hy KY nai AAP koi naa koi Banda zrur lgaen gambling par. To PHR Galat hoga. Or gunah jariya Ki ap ny bat Ki. Bhai jab koi mery link sy jaa kar gambling kary gaa to wo USS Ka APNA zaati fesla hy. Naa KY my ny ussy force Kiya...

ap Jo signature wear karte ho, usko advertising kehte ha aur sirf ye kaam ha thawan alal ism ha aur esi se tho mana ha k gunah k kaamo ma madad na kare. ap es waqt sirf etna likhe signature ma k Israel haq par ha tho kia zameer ijazat detha ha halanke sirf signature ma lekha hoga aur kuch asar b nahe parega. baqi dalael ap k reply k bad inshaAllah