Belkul bhai Chatgpt use karne ky liye sahi ya pher waha se ap kuch seek b sakte ho but yaha masla ye hai kuch log waha se direct copy kar yaha paste karte hai pher bad ma unke liye bhut mushkilat ajajti hai ye bat apki sahi hai jes ko kuch samjaj na aye to ap waha check kar sakte ho. muje jo acha lagta hai ky jo post insan khud se banay ya uske pas khud kesi cheez ka ilam ho wo khud se post banay us may copy paste nahi ata hai. beher hal har kesi ko chahie ky wo ihtiyat kary aur khud ky liye asan tareeka istemal na kary ky waha chatgop se copy kary usko post kiya jaye ye uske liye ek khatra paida karega ek na ek din wo pakra hi jata hai.
Gee dear AI sy hamain copy paste nhi krna chahiya or past mai asy bohat sy cases open ho chuky hain or un sy ibrat pakdni chahiya lekin mazy ki baat yeh hai ky jany anjany my log AI ka istemal krty hi hain, jasy ka umeridress and Gladiator bro ny kaha. Is liya agr ap in ghltiyo sy bachna chahty hain to apko pta hona chahiya ky ghlt kya hai or sahi kya hai or is ky liya apko AI ka ilm hona zarori hai.
Misal ky tor pr mery batch my kuch larkiya hain unho ny apni story share ki ky un ky clients khty hain ky ap ny yeh article AI ko use kr ky likha hai, jb ky unho ny AI ka istemal nhi kiya tha, lekin jb un ky manually written content ko AI detection tools my check kiya ga to waqai detection 70% sy zayda ai. lekin unho ny to manually likha tha. Baaz okat yeh tools jo AI ko detect krny ky liya istemal kiya jaty hain khud hi AI algorithms pr mabni hoty hain, or jo badhy DT members is forum ky yaha chudary bny bethy hain wo bi yehi tools istemal krty hain.
Or in faulty tools ki bunyad pr kafi logo ka parcha kat dety hain, lekin sary cases ki baat nhi kr rha, sirf kuch rare cases ki baat kr rha hoon maqsad baat krny ka sirf yehi hai ky ai detection tool abhi apni peek performance pr nhi pohnchy hain isliya un pr zayda dependent rhna nhi chahiya. Or mazy ki baat ky Google AI written content ko accept krta hai or khud khta hai ky chahy content AI ho ya humanoid ho hona user friendly chahiya or user friendly banan koi mushkil kaam nhi khair yeh baatain to web site ki hain lekin yaha pr bi apply hoty hain isliya bta di.