Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 21/11/2023, 01:50:36 UTC
-snip

Nahe bhai apko sawalo ma uljana belkul maqsood nahe hai bal k ek cheez smjane maqsood the k deen k bahot se kaam aise ha k Nabi ﷺ k zamane ma maujud the magar us par sareeh hukam nahe aaya magar bad ma Mujtahideen ne us ko wazih aur saaf kar dia. Aise ilm par azab ha jo es waja se seekha jae jis se maqsood logo ko discussion ma neecha karna maqsood ho. Allah Pak ham ko es se bacahe.

Mai tafseelo post inshaAllah lekho ga magar ab time issue ha es waja se shortcut kuch bathe arz karta hoo. Nabi ﷺ k zamane ma sharab k bahut se soorte the yani bnane wala , bechne wala, pelane wala , peene wala, madad karne wala tho en sab ko saaf saaf bian kia tha k koi ibham na rahe k ye cheez mana aur ye nahe. Eski waja b ye the k Sharab direct haram nahe huwe bal k pehle ayat ma es k nuqsanat bian huwe magar Sahaba Peete rahe, per ek sahabi(RA) ne Nemaz ma qirat k waqt sakht ghalti kii tho nemaz ma muminat ae. per b sahaba nemaz k bahir peete rahe per bad mamukammal haram huwe. Es tarah sood ma jo logo kinhurmat ae ha wo sab us waqt maujud the. Gambling ma sirf log shamil the aur advertising nahe the k ek bar hurmat k bad kisi ne advertising kii ho kisi b tarah.

Dosre bath ye k Sharab aur Juwa ek sath zikar huwe ha arbi harf Wao k sath aur arbi qaede k mutabiq en dono ka hukam ek ha. jis cheez ma sharab ki muminat ha wahi gambling ma b.