Dubai Center For Artificial Intelligence
Dubai na
DCAI ke naam se aik project start kardiya hai jisme 13 different countries se 30 large IT companies ne hissa liya hai ...Dubai ne 8 hafto k liye yeh program
AREA 2071 me start kardiya hai ...is project me
AI engineers 300 projects par kaam karega jo le 100 se zyada government authorities ko inke kaam me facilitate karega ...
Is project me abhi tak 2 kaam kiye jayegi ..First to yeh project government services ko facilitate kareva aur second yeh news aur media communications ko facilitate karega ...
Dubai news ne kaha hai k yeh project complete hone ke baad wo 72 aur is tarah k project par kaam karega jo Dubai ko modern world me aik alag maqaam per lejayega ...
ReferenceBrother Dunya bahot aagy ja rahi hai,aur taraqi ki manazil teh karti ja rahi hai.aur Dubai to dubai hai.international mayaar ka shaher jahan mery khayal main dunya ke maximum log yahni her mulk ke log aaty jaaty hon gy.aur taraqi ke lehaaz se bahot aagy hai.wo apny wasahil se bharpoor faida utha rahy hain.aur kisi bhi muhamly main dunya se peechy nahin hain.
Magar jab apny mulk ke halaat daikty hain to samaj nahin aati ke dunya kis taraf ja rahi hai aur hum kahan ja rahy hain.un ki apny mulk se muhabat daiko dunya ki jadeed se jadeed technology la rahi hai.itni taraqi ke bawajood bhi mazeed taraqi ki soch rakhty hain.aur hamari halat jaisy dunya se 500 saal peechy hon,aur haqeeqat bhi yahi hai.pata nahin hum kab is ghulami se azaad hon gy ,aur apny mulk main bhi istara ki development daiken gy.