If this is your password, change it immediately

Dosto is waqat aap aur hum sub samait billions log internet ka istemal kar rahy hain.hum logon ki jo bhi internet ke saat juri cheezen hain jaisy EMAIL,SOCIAL Media accounts,CRYPTO Accounts ,hum in ki hefazat password ke zarye karty hain.magar abhi bhi itny advance hony ke bawajood logon ki aik bari tahdaad aisy Password ka istemal kar rahi hai.jo hackers ke leye hack karna bahot asaan hota hai.
cyber security mahereen ne 2023 main 20 aisy badtreen password ki fehrist jaari ki hai jo aap logon ko hairan karny waly hain.aur ye list NORDPASS jaisi company ne jaari ki hai.is company ne leak password ka jahiza leya aur jo badtareen password un ko mila jo bahot zyada istemal ho raha hai wo hai 123456 .dosry number pe admin aur 3rd number pe 12345678.agar aap bhi aisy asaan password sirf is leye rakhty hain ke ye asani se yaad rehty hain to yaad rakhen ke ye hackers ke leye hack karna aik second ka kaam hai.
source is article ky motabiq 123456 sub sa maqbool password hy. jabka degar maqbool passwords ya han.
2- admin
3- 12345678
4- 123456789
5- 1234
in passwords ko use krna ke main wajha ya hy ka inko asani sa enter kea ja saqta hy aur asani sa yaad kea ja saqta hy. ab agr kisi na apna bank account ya main email id ka password ya rakhan hn to wo "vaar jya ga".
Eik scam jo ma sub ke agahi ka lea share krna chahyon ga wo ya hy ka mera eik aziz ka bank account sa 2 lakh rupee chori ho gya hn. na koe ghar aya na kisi na bank ja ka lota. sub kuch ghr betha hua hy. Eik call ayi jis ma ya kaha gya ka apka bank account close ho gya hy kuch malomat share krn to apka account unblock ho jya ga. yahan ya baat aham hy ka fraud krna valon na call Bank ka UAN number sa ke. Bus wo bnda unka baaton ma a gya aur unko apna cnic number, debit card no date of birth aur pin jo mobile py mosool hua wo deta gya. bus phr unhoo na uski online banking credentials ko reset kea aur paisa transfer kr lea.
Jb ya scam ho gya to Bank ko complain ke to un na kaha hum kuch nhi kr saqta ap FIA ma report krn. FIA ko report ke to un na kaha ka apka paisa agr kisi bank account ma transfer hota to hum recover kr leta. ya paisa sada pay aur first microfinance bank py transfer hua hn jo easy paisa type payment option hn. In ma jo Mobile numbers use hua hn wo fake hn aur inka koe record nhi hota.
Mera yahan ya waqaya share krna ka maqsad ya tha ka ya fraud real ma ho rhya hn aur sub loog is fraud sa agah rhyn. Eik dafa agr apsa koe paisa ly gya to phr recover krna both mushkl hy.