Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 5 from 3 users
Re: Pakistan
by
HONDACD125
on 26/11/2023, 05:45:49 UTC
⭐ Merited by UmerIdrees (2) ,Cheema02 (2) ,Compromise me (1)
World's fastest internet service and our internet

Asalam o alekum dosto : INTERNET hamari zindagi ki aham zarorat ban chuki hai,aur ham sub ki yahi kwahish hai ke hamara net behter se behter ho,kiyonky hamari bahot saary kamon ka daromadar INTERNET ke saat jura hai.magar badkismati se yahan hamary mulk main INTERNET ki haalat bahot kamzor hai. waisy to taraqi ki daur main dunya hum se bahot aagy hai,magar khabi khabi main sochta hon ke pakistan main zindagi ki aham kamon aur rozmara ki zaroraton main jis per bahot saary logon ka daromadaar aur rozgaar hai.os main bhi bahot peechy hai,is ko aap hukumrano ki inteha darjy ki nalaiqi aur behisi keh sakty hain,zaroorat ke waqat apka page nahin khulta,kaam karna to door ki baat hai,adhy ganty ka kaam aapko 5 ganton main karna parta hai,her aik network ki SIM apny pas rakhni ho gi,pata nahin chalta kis ki net kab kaam chor dy.



Ab dunya ki baat karty hain,aik khabar hai ke dunya ki tez tareen INTERNET service aagai hai.jahan aik second main 150 filmen download ki ja sakti hain,hamara aik page nahi kulta.ye amrica ya koi aur mulk nahin balky hamara parosi china hai.jo dunya ke doosry mumalik se 10 guna zyada tez ho ga.aur itni tez raftaar net speed dunya ke kisi aur mulk main maujood nahin hai.ab aap kud sochen ke china apny mulk aur awaam ke leye kitna mukhlis hai,isleye to wo taraqi kar rahy hain.

source