Palestine Ki to halat bohat buri Ki hui hy waqy hi. Allah Pak unki mdad farmaye. Palestine Ki sari awam Ki nazren tmam Islamic mumalik par hen lekn in Ki taraf sy koi BHI in KY liye awaz nai utha raha ma siwaye Yaman KY. Kher Allah un sab ko gherat ata farmaye.
Ham be bass hen ham khud to jihad nai kar sakty lekn in Ki products kaa boycott kar KY ham APNA farz Ada kar sakty hen.
Ye kuch or details hen in ko products Ki to ham sab ko chahye khud or apny relatives or dosto ko BHI bchaen.
Hum na ghr ma Dalda ke jagha ya local cooking oil 'Kausar' try kea hy. Iski price bhe Dalda sa kam hy aur zaiqa ma bhe koe khas difference nhi mehssos hua. Protest sirf short term nhi hona chahya balka ya long term hona chahya. Local brands ka item try krn is sa hmari local industry bhe grow kra gi. Baqi Patti ma bhe is bar Tapal lya hn jo eik local brand hn.
Is poqa ka local brands ko bhe fayda uthana chahya aur apna mayar oper lyn taka log inki products zayda sa zayda lyn. Ap jb bhe soda lena jyn to koshish krn ka local products he lyn.
Abhi crypto ma to koe local brand available nhi so hman bitcoin aur degar alts ma invest krna ho ga.
Ap sab ko pata hoga k National T20 cup ho raha hai jis mai Pakistan ke players khel rahain hain.
Asal baat ye ni hai asal baat darsal kuch yoh hai ke ap sab ko Azam Khan ka toh pata hi hoga, toh Azam Khan ne apna bat mai Palestine ka flag lgaya hua hai aur usi bat se woh match mai batting kr tein.
Aur ye aik achi baat bhi hai because wo Palestine ke haq k liye awaz utha rahein hain pr afsoos iss baat ka hai k PCB ne Azam Khan 50% fine liya hai issflag ko laga k khelna ka.