Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 2 from 1 user
Re: Pakistan
by
God bless u
on 05/12/2023, 05:28:14 UTC
⭐ Merited by HONDACD125 (2)
Kal ma ne ek ketab se DUA k baare ma lekha tha tho aj mazeed us par dosre ketab se read kia aur yaha par ab ma rozana jo seekha wo share karta rahoga tha k dunya k sath sath kuch deen kee bee bath hijae. ma serf book ka hawala donga jes ma saare ahadees aur aqwal ka hawala aa jaega .

Nabi kareem SAW ny as ummath pr ahsan Kia ha k hr wqth Allah Pak sy mangny ka treeqa sikhaya ha k har wqth Allah Pak sy mango subha o sham.
Allah Pak k Nabi Kareem SAW har jagah Allah Pak ko
Pokara krty thy Allah Pak sy manga krty thy masjid ma dakhel hothy waqth ghr sy nikalthy waqth din k ojaalon ma rath ki tareekiyon ma Allah Pak sy mangthy rhy

Dua tho dil sy mangi jati ha jaise k iqbal ne farmaya
Quote

Qabool tho os ki bhi hothi hai jes ki zuban nahi hothi
Hadis mubark ma atha ha k jab koye khany ki chez Nabi 

kareem SAW k samny athe tho ye Kalmath ershaad frmathythy k
"" Tamam tareefen Allah Pak k ley jes ny mojy thaqath or qudrath k bghir rizq atha kia ha darasal ak jumla mussalman ko kafir sy or ak Allah k bandy ko ghafil sy momthaz krtha hai k kafir sochtha ha k ye sab mare elm o hunar o thaqth ka kareshma ha or mussalman sochtha ha k y sab Allah Pak ka fazal ha mera koye kamal nahi ha  ""

"" Seyedena abo Saeed khudri RZA sy rewayath ha k Nabi kareem SAW ny frmaya k koye be mussalman jab koye aisi dua krtha hai jes ma koye gunah or qatha rahmi ki bath na ki ho tho aisy shakhs ko theen ma sy ak cheez zaror atha kr di jathi ha ya tho as ki dua qabool ki jathe ha foran ya as ko akherath k leye mahfooz kr lea jatha ha ya as dua k baaes kesi ase he any wali musebath ko taal deya jatha ha

Sahaba e Karam RZA ny arz kia k hum tho phir bahoth kasrath sy dua kryn gy
Allah  k Nabi kareem SAW ny frmaya
Allah k han deny k leye bahoth koch ha.. Matlab k Allah k khazano ma kamee nahe bas ham mangne wale ban jae .
Book: khutbat Azhar(ye new book ha , mushkil ha k kisi maktabe ma ho q k ye hamare elaqe k local Aalim ka lekha huwa ha)