Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 10/12/2023, 15:41:50 UTC
~snip

Thanks k ap ne apna thaaruf kara dea k ap ka Ullamae Pakistan k baare ma kia soch ha. Ab bath karna thora asan ho jaega. Mai apko es baare ma mazoor smajtha hoo q k hamare maashre ma Ullama k khelaf angrez ne etne mehnat ke k jo Quran ko smjne wale ha wo hamare nazar ma kam tar ha kalma ham ko sahe tarah se nahe aatha aur apne ap par Allama hne ka khial hotha ha .

Agar es bath pame hamare Ullama ghalat ha k pehle ek fatwa dethe the aur per waqt k sath fatwa badal dea tho per tho Naoozo Billah ap Peghember ko b ghalat kahege k pehle qabar ma jaana mana tha per ijazat mel gae, sharab jin bartan ma bnaya jatha tha us ka estemal band tha per ijazat mel gae. Zakhera ahadees par nazar kare tho bahut se aise masail the k pehle mamnoo the per ijazat mel gae. Sahaba k dor ma nabi ﷺ ki zindagi wale bahut se aise kam the jo unho ne mana kia jaise aurto ka masjid ma aana wagera. Tho ab ap yaha par kia kahege?

kher ye tho ilzami jawab tha. Tehqeeqi jawab ye ha k dekho bhai camera , photo etc jab eejad huwa tho poore dunya k Ullama ne eski nafee ke aur esko haram kaha aur khud b ijtinab karte rahe. magar ghero ne etne mehnat kii k hamare sada loh muslaman es ma graftar hogae aur gar gar ma tv pohnch gia. ghero ne eska faida utaya aur muslamano ko gumrah karne lage aur apne batil ullama log laathe rahe aur ghalat zehen sahi start huwe jes se umaat k jaahilo ka bara nuqsan hone laga tho yaha par ab zarorat mehsoos huwe k es field ma b ullama apna kirdar ada kare tha k log gumrah hone se bach jae tho Fiqh k qaede(zarorat )k mutabiq ullama es field ma b aa gae ha. dosra ye b hwa k pehle camera ke tasveer ko real tasveer mana jatha tha per bad ma ye shuba paida huwa k ye aks ha jis se fatwe ma narme huwe magar ab b gher zarori tasaver aur video ko ullama harma hee smjthe ha aur rahege inshaAllah. Baqi amal ma kamzori wo ek alag cheez ha.
yaha ek aur masla b ha aur wo umoome balwa ka h k jab bahut se muslamano ka thaomal ek kaam ma ho aur wo quran aur hadees k sareeh nas se haram na ho tho us masle ma asani paida ho jathe ha. Ab ye field ullama ka ha , bahir se bathe karna bahut asan ha. umeed ha es ma ap k saare swalo ka jawab hoga , per b koi shak ho tho shak bthae , inshaAllah ma. koshish karoga k door kar do.


gambling wala masla ma next post ma discuss karta hoo. Aaj kahe gia tha, abe thaka huwa hoo, aram se kal inshaAllah karta hoo