Big crash in Bitcoin without bad news

Asalam o Alekum : Dosto Bitcoin main achanak dump aaya,aur yaqeenan kafi logon ko aisi umeed nahin ho gi,jis andaaz se raat ko crash howa,aur bazahir aisi koi bad news bhi nahin ai,magar pir bhi acha khasa crash howa,jis din Binance aur CZ ki Bad news ai thi os din bhi bitcoin itna crash nahin howa halanky ye wala dump agar wahan aata to aik waja maujood thi.mery khayal main jo log future trading karty hain un ko acha khasa nuqsan howa ho ga,isleye future tradin se hamesha door rehny ka mashwara diya jaata hai, kiyonky ye kisi bhi lehaaz se theek nahin hai,
baharhaal yahan maqsad logon ko liquidate karna ho ga,aur logon ka kaafi sarmaya dhoob gaya ho ga.yahan aik baat wazh hai ke market ko bad news ke elawa bhi pump aur dump karny waly maujood hain jo kisi bhi waqat market ko kisi bhi semat le ja sakty hain.isleye hamesh muhtaat ho kar is market main entry leni chahyee.