I think ham ko ye topic close kar dena chaheye q k faede k bajae nuqsan ho raha ha. Muje khushi ha k yaha k jo taleem yafta tabqa ha wo esko avoid kar raha ha aur halal rizq ke koshish kar rahe ha. Hamara asal sarmaya hamare apne muslaman ha jo k koi na koi khasiat rakhte ha aur Islam k leye faida de skte hai. Kisi ko Allah pak ne sakhawat de ha tho kisi ko bahadri aur koi naseehat wagera. Ullama k andar jetne ekhtelafat ja wo faroi masail par ha jin ma ikhtilaf ka hona haq ha aur ye ikhtilaf Sahaba k zamane se balke dore nabi ﷺ k zamane se chala aa raha magar Allah k nabi ﷺ k zamane ma ikhtilaf aatha tho wahe se wo zail hotha jab k bad ma wahi ka selsela khatam huwa. Ab ye ekhtelaf aisa nahe k es ke waja se dosre k sath thaluqat nunqate keye jae, ha apne muaqaf ko daleel se bian kea jae. En ullam se ham ne Quran seekha, enhe se islam seekha. ab koi khud tho gunah ma doobe aur ye kahe k Aalim farishta ho tho ye mumkin nahe magar Masail ma Ullama se he rujoo kia jaega k wahi quran aur hadees ka sahe ilm rakhte ha ya per khud seekhna parega aur wo b ullama se he seekhna parega.