Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 14/12/2023, 16:49:51 UTC
Soo yeh tu final hua k Signatures p agar payment letay hien hum tu yeh hum advertisement kr rahy hein aur ais hisab c humaen sadqa kerna chayee. Mutlab k yeh thora gult kam hy tu haar week gult kam kertay hien aur phir thora bohat sadqa kertay hein takay pak saaf ho jiey aur next week doabra wohi kam kertay hein.
Ap kuch zyada jaldi conclusion par nai pohnch Gaye sir? Ap is advertising ko Galat kesy keh sakty hen? Kaya my ye puch sakta hun. Agar to ap BHI is advertising ko Tawun kaa Naam dy rahy hen to my iss ko Tawun nai kehta. Yani Meri wohi post ap ko dubara parhni chahye KY basically Tawun Hy Kaya?
Kaya ap iss ko Tawun kehty hen KY ap ny bss signature lgaya? Tawun boss ye hoga KY ap ny EK shaks ko force Kiya or Kaha KY Bhai idhar a gambling kar. Ye un K sath Tawun huwa.


Ye taawun se force karna ap ne kis tafseer se leya ha bhai? Ye tho Quran ki tafseer se taluq rakhta ha. Tafseer k leye ya tho apko khud mufassir hona parega jo k ap nahe ha balke arbi zaban se b nawaqif aur quran ka ilm tho door ke bath. agar ap mufassir nahe tho per kisi mufassir ka tafseer dekha hoga jis ne ye tarjuma kia ho tho kindly uska hawala dejea. tawun se advertising Murad lena har maktaba fikar ne leya ha. ab ap ye na Kaho k mera point of view ha q k Quran ma apne rae se baghair ilm k tafseer karna jurm ha .

Force tho Allah Pak apne qudrat k bawajood nahe kar rahe. Allah pak kisi b naik amal par kisi ko force nahe karte. Bas Quran aur nabi ﷺ k zareye dawat dee. Nabi ne logo ko dawat dee magar kisi ko Force nahe kia. Nabi ka dawat dena sawab ka kam ha. kisi gunah ki dawat dena gunah ka kam ha chahe gambling ho sharab ho.

let's more close. Nabi ﷺ ka zamana ha. Nabi dawat de rahe k gambling na karo ye Islam ma haram ha, aur sath ma ap b kare ha aur keh rahe k Casino slots ka new website aaya ha , first bet free tho kia kehte k ye Nabi ﷺ se muqabla ha k nahe m wo tho esko rokne ke dawat de raha aur hamara muslaman esko phelane ke dawat de raha.

Ab ap ye na kehna k signature aur dawat ma farq ha , dono advertising he ha bas farq sirf modern technology aur purane technology ka ha.