~snip
Full off topic post. Jo ap se poocha uska tho jawab de nahe rahe aur muft ma post ko lamba kar rahe.
To the point bath: ham quran ki ayat se har qism ki haram cheez ki advertising ko mamnoo qarar dethe ha jis ko ap ikhtiari tor par karte ha. Pakistan, Saudi arabi, SouthAfrica aur baqi Mamalik k Ullama. chahe wo advertising specific casino k logo k shakal ma ho, tv advertising, signature advertising, youtube advertising ho. ap sirf etna sabit kare kisi Muhaqqiw Aalim(Pakistan k elawa) k bayan se k advertising jaiz ha haram cheez ki. waiting for your reply aur no need to eder udar jaane ki. masle ko short khtam kare ya ye kahe k mere pas kisi Aalim ki daleel nahe ha aur ma apna point of view se sab kuch keh raha.
ap kehte ho advertising taawun nahe ha
Are Bhai clear mujy Karna Hy ap ny. Or ap iss swal KY pichy mery swal ka jwab nai dy rahy hen.?
Kaya ap ye nai kehty KY ye dawat Hy.? Yani ham ny Jo signature wear Kiya hy ye dawat Hy Jo ham kar rahy hen.
Or ye dawat Hy to ham barri ho jaty hen Agar ham sadqa dy dety hen to. Or ye Mery AQA O MOLA صل اللہ علیہ وآلہ واصحابہ وسلم ka Irshad E Mubaraka hy.
Post lambi Thi to ap ny apny MATLAB kaa hissa Nikal Liya or muj par charhai kar di.
Ab bss ap mujy Yahan radd Karen KY ap Yahan iss tarah Galat hen. PHR next bat Hogi. Koi lambi post nai hy. Bss mujy is kaa jwab den.