London, Bharat or America ky baad Bartania mai v corona virus mai azafa hogya ha,
Manchester sy btae gye report mai adad o shumar ky mutabiq covid ki nae qism JN-1
mai musalsl azafa ho rha ha adad o shumar ky mutaabiq btaya gya ky ya 18 sy 44 saal
walooon mai zada paya ja rha ha dusri janib bartania ki national health agency ka khna
ha ky bdhty huay smajhi rabtay or Christmas pr virus ki muntaqali ky amkan zada hain,
NHA ny kha logooon ko ehtyat ka daman ni chodhna chahya, NHA ka khna ha ky dusry virus v
sardiyoon mai mukhtalif bimaryoon ka sabab bnty hian!
https://dailypakistan.com.pk/22-Dec-2023/1661656ye kambakht dobara aagaya.abhi to pehly waly zakham taaza hai,hum ne to jo vaccination ki hai os per darty hain ke pata nahin kis cheez ke injection thy ab ye dobara kahan se aagya.magar Allah kary ke udhar hi rahy is taraf na aye.kiyonky os waqat mulk ke halaat theek thy aur hum bardasht kar gay te,magar ab jo mulk ke halaat hain ,pehly hi log mehngai aur gurbat se cheekh rahy hain.karobar tup hain.to is afat ka muqabla mushkil hi ho ga.
kiyonky ameer logon ko to koi masla nahin na hamary aeewano aur bary bary mahlon main baity howy logon ko koi masla nai ho ga.nazla saara ghareeb per hi giry ga. European mumalik to bardasht kar len gy un ki maheeshat aur hukumran achy hain.hamary to apny hi dushman hain.un ko aik aur mauqa mil jay ga apni awaam ko zaleel karny ka.