wah bhai mazy karo ap be na hone se acha hai 33 token b kafi he agr 2$ price hota he to 66$ ban jayenge to bhut hi he ye aur agar 3$ jata he to 99$ ban jate he to ye bhut shukar he tabhi to me kehta ho airdop kia kary kuch pata nhi chalta Allah Pak kes traf se be dy to bs airdop aj kal join kya karo q ke markeet abi pumping pe aur airdop arahe he lagatar lagatar aur maze ke bat ye he sary token binance pe arahe he to jetna be profit de jaye bhut he chahe wo 50$ ho ya pher 100$ ho bhut hote he na hone se acha he to mere all friends airdop join lazmi kiya karo deko hamare 2 bhai eleigble he bhut khushi hoi he baqi be mehnat kiya karey.
Price ka felhal kuch pata nahe ha par muje yaqeen ha k jo log TIA ma airdrop k eligible the aur unho ne starr ma 2$ aur 3$ k beech ma token ko sell kia wo ab dobara hargiz start ma asan rate par sell nahe kare. mere ek cousin ki 300 thak token mele the. us ne 600$ k banne par sell kia per bad ma price ne ek shandar kamal dekhaya aur 14$ thak reach kia. yabi agar wo hold katta tho 4000$ ban jathe. Ye tho qismat me bath ha leken ham aese ha k hold belkul nahe hotha. agr koi token hold kare tho wo per pump nahe karta balke dump hee hotha ha.
I think 2$ price par be sell karna munasib nahe ha. 5$ minimum agar ham rakhe tho 200$ thak profit ban jae thab ham keh sakte k kuch acha airdrop dea.. Sab se acha rewards jo ma ne dekha wo Solona aur Ethereum layer2 walo ka tha jin k token 100 se up ha. kuch users k tho ma ne 1000 se be opar dekha
MFahad brother, Apka analysis bilkul durust ha mein bi Clestia (TIA) k airdrop ka beneficiary tha or mujhy Ethereum or Cosmosis network pe 400 se zayadeh TIA tokens milay thay or mujh se bi yehi ghalti hoi thi mein ne 20% abi tak hold kiay hoi han or baki 80% $2.5 k kareeb sell ker diay thay or sell krny k baad bht pachtawa hoa. Allah ne jo naseeb mein likha tha wo mil gya. Alhamdulilah.
Dymension k kum se kum mein 50% hold keroun ga or baki 50% shoro mein sell ker doun ga. Wasy jub mein DYN ko TIA se compare kerta houn toh TIA ek modular chain ha or yeh ek naya concept ha esliye bht zayadeh popular hoa.
Mere khayal mein DYN mein itni zayadeh hype nhi aai gi. DYOR