Rising Cyber Attacks Targeting Solana Amid Memecoin Surgehttps://i.ibb.co/ZfZVV0p/IMG-20240103-155747.jpginfoالسلام علیکم
Solana cyber hamlay mein tezi se izafa dekh rahi ha jahan hackers SOL token holders ko nishandeh drainer malware se nishana bana rahe ha jiske zariye victims se bohat zyada raqam ko nikal rahe h. Blockaid aur CertiK Solana ke crypto mahol mein barhti hui phishing schemes ki taraf dikkat dilate ha jo wallet interfaces ke andar vulnerabilities ko exploit karti ha taake users ko jhooti transactions approve karne par dhoka de. Jab Solana projects mein interest barh raha h khas tor par ANALOS aur BONK jese memecoins m toh naaye traders iske shikaar ho rahe h jo drainer hacks ko barha rahe hain.
https://i.ibb.co/9yJ3GDy/11-1.pngInfoDecember mein kai cybercriminal groups ne apne specialized Solana wallet drainers ko potential buyers ke liye advertise kiya. Ye sab Solana ke ecosystem mein badh rahi dhamakon ko highlight karta hai. Blockaid aur CertiK unsolicited links se bachne aur transactions ko chaukasi se monitor karne ka hawala dete ha aur Solana holders ko drainer risks ko kam karne ke liye strong security measures ka istemaal karne ki recomm dete ha
cybercrimes nay cryptocurrency main kaam kernay waloon ko kaafi pareeshan kiya hay.Mere ilm main aisay bhi log hain jinke pooray pooray account hack hogaye hain.
jahan tak meri knowledge hay, kiyunkay crypto decentrlized hay isliye yeah aik asan target hay cybercrimes k liye.
solana aik safe aur strong platform hay uskay bawajood yeah cybercrime ka target bun raha hay . new and old dono users ko ziada say ziada security measures ka dhyana rekhan chahye