Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Sayeds56
on 11/01/2024, 07:30:54 UTC

Ye bahut ache news ap ne share kii ha. Gold ki demand ziada ho rahe ha aur agar Bitcoin na hotha tho mere khial ma es waqt es ki mang market ma 2-3 gunah hothe leken crypto ma investment chonke asan ha aur kuch had thak decentralized ha aur sab se ache bath k volatility be es ma ziada ha es leye ziada log es ma lag gae ha.
 
Gold investment ma ab wo maza na raha. pehle zamane ma gold ko secure karne k ajeeb ajeeb tareeqe the. koi bartan ma daal k zameen ma chupata tho koi dosra raasta ikhtiar karta. ab advance dor ha aur har koi digital work ko pasand karta ha k har waqt price aur value ankho k samne rahe jis k ley crypto sab se ziada mozzo lagata ha es waqt.

G brother, agr Bitcoin na hota toh waqi world market mein God ki price bht zayadeh hoti, ku k dono ko hee store bof value samjha jata ha. God store of value k ilwa Gold or Silver ka industrial use bi ha khas tor pe electronics industry mein.

Pakistan mein Gold ki price mein fluctuations ka local demand/supply se itna relation nhi jitna Pakistani rupee ki dollar ki value mein jo utar charo hota ha.

Local demand toh wasy hee bht kum ha ku k dollar 300 rupees k pass hony ki waja se gold ki price sky high ha, or bht kum log gold jewellery ko afford ker paty han.