Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
MusaPk
on 06/02/2024, 18:30:17 UTC
Matic(Polygon) waqi pichly kafi dino se hamari expectation k mutabik nhi chal reha jis ki waja se traders ka Matic pe confidence kum hoa ha mgr investors abi bi es pe bullish han  ku k esky fundamentals bht strong han. Matic abi bi transaction fee k lihaz se layer2 ki cheapest chain ha

Sayed bhai Polygon no doubt eik boht acha project hy jo boht attractive features offer krta hy. Polygon darasl protocols ka stack hy jo ky Ethereum ke scalability ke problems ko hal krna ka lea design kea gya hy. Polygon network me transactions ko ek dosri blockchain py handle kea jata hy jo Ethereum sa compaitable hoti hn. Processing ka bad Polygon transactions ko main Ethereum blockchain pr wapis bhej deta hy. Is tarh Ethereum blockchain pr load kam kr ky network transactions ko speed up kea jata hy.  

Polygon (MATIC) ka yahi WOW factor hy jisko plasma sidechain kaha jata hy.

es abi $816 Million dollars (TVL) locked hoi han or eski takeebun 95% tokens circulation mein han jis ka matlab he k es mein koi supply shock ki waja se price slump nhi ho ga. Eski chain pe 517 protocols han.

Jahan tk coins ke total supply ke baat hy to wo 2025 tk pori ho ge aur tb Polygon ka 10 billion tokens circulation ma a jyn gy. Polygon PoS based hy, to yahn apko staking ka reward milta hy. 9.6 billion to circulation ma a bhe gya hn.

In sub cheezon ka bavjood Polygon (MATIC) nhi uran bhr saqa. Even mojuda Bitcoin bull run ma bhe ya apni jagha khara hy.