Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Rustam Meraj
on 18/03/2024, 11:52:33 UTC
Yani ham ko yaha par azaadi nahe ha balke bande huwe ha. Ye rules kaha Theymos ka bnaya huwa ha ya moderator ka? Agar Theymos ka bnaya huwa ha tho per main rules ma esko add q nahe kia. Es rules ko par kar muje bahut afsos huwa k jaha par decentralization aur government force se azadi ki bath ke jaathe ha waha par members ko es tarah posts ka paband kia jatha ha. Koi post hoga, announcement hoge tho ham us pat discussion karege. Ab start se 1 page se lekar ham 1000 page thak ek he cheez ki discussion karege? Ye bathe ap se nahe balke rules bnane wale se pochna chahooga.
Bilkul Bhai dukh huwa Dekh Kar ky ye kesy rules hen ek thread ho or us my bhi sirf ek hi topic par discussion hogi. Waqt hi my 1000 pages Karna or bilkul to the point Hona ye mumkin nai he. Or upar sy Hona bhi ek alehda community kaa thread. Jahan sirf Urdu bolny waly hi bat Kar sakty hon. Naa mumkin to nai behar haal mushkil bohat zyada he.

Wesy baqi SAB members ky reply bhi parhy hen my ny waqy hi my is ky Barry my awaz uthani chahye. Yehi SAB sy behtreen fesla he. Or shahzadafzal sir jaldi sy ek thread bna den. Or hmari awaz hukkam e Bala tak pohnch saky.