BTC Current Price And Next Move
Asslamualaikum! Kaya hal hen ap sab ky. Umeed karta hun sab kheryat sy hon gy. Acha sab sy pehly to ham bat kar len current Bitcoin price ki to ye raha mery Binance sy liya huwa bilkul taza taza Screenshot sab sy pehly ap is ko mulahiza farmaen.

Len ji to ap sab ny Current Price to dekh hi li to bat karty hen ky Bitcoin ki next move kaya ho gi or Bitcoin kahan tak jaa sakta hai. Or kaya up jaye ga ky yahan sy down jaye ga. To my dawy ky sath keh sakta hun yaa yun keh len pury wasooq ky sath keh sakta hun. Nai bal ky my qasam utha ky kehta hun ky mujy bhi nai pata ky Bitcoin next move kiss janib kary ga. Han na bhai jab mujy pata hi nai to kesy bata dun. Ab kaya karen ji esa hi karna parry ga bhaio. Or to koi bat aati nai hai or naa hi post kar sakty hen. Haha
@Themepen: yaar koi baat nai bass airdrop links naa share kro idea share karo, opetunity share kro kia amsla haa kuch bii nahi app too see lag raha kaa smjh rehe abb bass band sab kuch haha.
To Hamza bhai upar kesa laga mera Idea kuch esa chal jaye ga na. Hahaha.
Dill par kaya leni hai bhai asal my gussa mujy ye hai ky kaya my jab sy yani 2 sal my ab yad aya in ko ky ye rules bhi hen? Is sy pehly bhi esa hi hoga. Mjy to apny career ka pata hai. Ky my ny esa kabhi naa suna dekha. Jo ye achanak sy huwa. Yani ab my jab newly register huwa to mujy pehky pata hona chahye tha ky yahan ye post nai karni or ye karni hai. Masla abhi bhi koi nai hai. Bss mery gussy ki asal waja yehi hai ky ye sab pehly so rahy thy. Or hmary moderator sir Xal0lex ko bhi nai pata tha in rules ka. Baqi mazrat sir agar meri koi bat buri lagi ho to. Thora rude ho gaya tha.
Bss Hamza bhai mjy issi bat ka gussa hy ky ab kiu? Pehly kiu nai? Yani jab 1000 pages huwe us ky bad hi kiu? Kaya hmara 1000 page up karna gwara nai huwa in ko? Yaa koi or waja hy? Still confused.
