Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
ThemePen
on 03/04/2024, 00:55:43 UTC
Brother Mai apka mazak Nahi urwana chahta but like seriously mujy Laga Ap ik important Raat Ka zikr karyngy Jo ky mostly AJ Sy logo Sy Sunna Start hojata haa through mesg, video, waghaira waghaira jiska name haa (lailatul Qadr) Jo poory saal Mai ik Marta aate haa aur iske importance ka andaza ap is baat Sy lagwa ly ky is Raat The Holy Book Quran Majeed ka pehly ayat angel jibreel ky through hamary NABI ﷺ par nazil Howe aur is ik Raat Mai ibadat normal days Ky muqably 1000 saalo ky ibadat Sy behtr aur aala haa, iss Raat ka date fix Nahi ha isliya mostly isko Ramazan ky 3rd ashry yani last 10 rozoo Mai doonda Jata haa. So ap SAB log inn raato Mai barpoor ibadaat kary aur apny naiquo Ko iss Raat Ki barkat Sy aur bhi unique aur rare banwai. Baki Mai yeh refer Karta Hu hamary Gladitorcomeback Bhai ko taaky woh iss Raat Ki ahmiyat ko aur bhi behtr tareeky Sy apko samajny Ki koshih kary.
Bhai bat to ap ki theak hai. Mjy bhi kal notification aya ky pak thread my UmerIdrees sir ny post ki hai. Or shuru ka context ap ko pata hi hoga thora saa show hota hai. To my ny socha shayad koi kam ki bat hogi Rozon ky mutaliq. Or koi nasihat hogi koi wa'az hoga. Behar haal jab my ny post parhi to my ny ussi waqt socha I wasted my time. My ny ussi waqt jwab dena chaha lekn busy hony ki waja sy nai dy saka.

Or rahi bat Lailatul Qadar ki. To ap thori si correction kar len ky ye raat jo Quran my zikar aya hai us ky mutabiq ye raat Hazar Mahino sy behtar hai naa ky Hazar Saslon sy. Baqi is raat ki fazilat bohat zyada hai. Or hamen is ki talash lazmi karni chahye. Or ye akhri ashre ki taaq raton my paai jaati hai. Hmary han yani hmari masjid my is jaa behtreen ehtimam hota hai. Yani in raaton my Mehfile Shabina kaa ehtmam kiya jata hai. Or 30 huffaz hoty hen. Or wo har raat my almost 6 6 paary parhty hen or phr log un ko sunty hen. Hafiz sab zubani parhty hen or baqi sunny walo ky samny Quran hota hai. Or wo Hafiz sab ki tilawat ko sunty bhi hen or kahin galti lagy to btaty bhi hen or iss tarah sy nind bhi nai aati. Bohat barkten hasil hoti hen.. Alhamdulillah.