Fil haal to Market ki kuch samaj nai arahi hai sir ji.
Abhi tak wo movement nazar nai aai hai jo basically nazar aani chahye thi. Whales bhi kissi cheez ka intzar kar rahi hen. Or abhi accumulation band ki hui hai. Institutions ki taraf sy bhi koi khatir khaa movement nazar nai arahi hai. They are thinking some thing big ab ye nai pata kaya soch rahy hen. Baqi ye bat bhi hai ky selling pressure bobat had tak kam huwa hai. Kher abhi tak mujy to kuch samaj nai arahi hai. Shayad Alts ki market ko kamzor kiya jaa raha hai. Kiu ky Bitcoin thora saa upar jata hai to Alts thora saa struggle karty hen lekn bad my jab Bitcoin down ata hai to dominance ki waja sy alts ki matt maar deta hai. Ab dekh len jesy Bitcoin apny ussi muqam tak pohnch raha hai jahan sy dump huwa but alts wahan nai pohnch paa rahy just due to high dominance. Dekho ji kaya banta hai ab.
G brother, ap theek kah rehe han filhal Bitcoin market ki koi samjh nhi aa rehi or directionless nazer aati ha mgr long term investors yakeenun accumulation ker rehe han. Bitcoin dominance abi bi 53% se oper ha esliye esliye baki digital currencies mein bi koi khas momentum nazer nhi a reha. Kuch analysts ka khayal ha k Bitcoin $50K tak slide ker sakta ha ku k market mein liquidity nhi ha mgr mere khayal mein $60K bht strong support ha or uska break hona kafi mushkil nazer aata ha. DYOR
https://cointelegraph.com/news/bitcoin-bollinger-bands-btc-price-squeeze-50k