Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
HONDACD125
on 26/04/2024, 17:37:12 UTC
Kia ap jantein hain ye jo aik Whasapp k under upper run barangay sa circle agya hai us se kia hota hai toh apko batau k sab se phela apne ne us Meta AI ki chat khol leni hai phir us ke under ap jo bhi liko ge wo banade ga, yeh aik tarah se ChatGpt hi hai but is mai aur Chatgpt k under fark ye hai k Chatgpt photo include ni kr ta aur dusra fark ye hai k Chatgpt aur Whatsapp dono k naam ka difference hai bhkai same hai.

Agar apne khoi poem likha wani hai toh wo bhi ye likh de ga. Ap bat krtein hain phoito ki toh apko sab se phela ja kr ‘Imagine’ ka word likhna ha. For example, ‘Imagine a car without windows and doors.’ Ab sirf inta hi ni ap inko chala bhi skte ho is k nece likho bas Animate then ye photo chalna bhi start hojaye g aur aik cheeze yaad rkhna k ye biolkul bhi paid ni hai.



Assalam o Alaikum brother. Ji aapne bilkul sahi btaya hai sab kuch Meta AI k bare men, yeh Meta company jo k Facebook, WhatsApp, aur Instagram jaise social apps ka malik hai unka bnaya hua AI model hai jo k commands le k aapko sare kaam kr k de deta hai wo bhi free main. Lekin aek cheez main aapki correct karna chahonga, wo yeh k agr aapko Meta AI se koi image banwani ho toh aap "imagine" word k sath slash men lgate hain, is tarha kar k "/imagine" aaur tab jaa k yeh command qabile qabool hogi.

Baqi ismen aur ChatGPT men sabse bada farq filhal k liye yeh hai k yeh without any charges usable hai jab k ChatGPT ka full version yaani k GPT4 ko access krne k liye aapko subscription buy krni hoti hai. Umeed hai k yeh cheez future men bhi hogi, aesa na ho k aage jaa k is k liye b subscription ki zrort parhe kyunke aakhir kar yeh aek business ka hi hissa hai.