Zain bhai wallet bana tu koi masla nahi aur community se help ki appeal krna ka bhi koi problem nahi.. but main masla hia contribution ki amount us jagah punchana.
Ye sab ko pata hia wahan kia situation hai wahan kisi bhi tarah ki koi donation punchana iss wakat takreban na mumkin hia... phir le de ke yehi UN ki aur dosri tesri NGOs reh jati hain jo wada tu karti wahan punchane ka likan in k paise ka actually 10% bhi donation main nahi jata... 90% in k high perks aur inki apni meetings gatherings aur campaigns main use hota hai.
aur iss mamale main transparency 100% chahiye ye transperancy tabhi ho sakti jab koi actual ground pe mojod hai jo aaj kal tu possible nahi hai.
Baqi phir bhi ham sab discuss karte hain... tu mera tu iss main yehi aik point hia k iss wakat donation deserving people tak nahi punch sakti. Baqi yes beshak ye bhi sach hia k agar ham Palestine ya Gaza ki support k liye kuch start karin ge tu wo automatically Israel k khilaf he hoga but this we can bear Alhamdulilah.
Anyway please let me know I'm still open to discuss more.
Sir ye bat ap ny bilkul theak Kahi my BHI asal my yehi Soch raha Tha KY wahan par donation ko kesy pohnchaya Jaye.
Ab Jesy hmary Han Yahan flood Aya or PHR USS KY liye donation hui or PHR USS ko aagy pohnchana BHI kaam hy. Lekn masla koi nai Tha APNA Mulk Tha to ye pohnchana mushkil nai Tha. Lekn Yahan masla Alag Hy.
Kher I don't know but my ny social media par kuch pics dekhi videos dekhi hen jiss my hmari kuch tanzeemat iss waqt wahan BHI imdad pohncha rahi hen Jesy KY Dawte Islami. Or BHI bohat c hon gi Shayad. Is par thori research Karny Ki zrurat hy. I think KY EK right way mil hi Jaye Ga. What do you think sir?