Ab awaam is k liye kia kar skti hai? Awaam behtri aur bure hukmranon se chutkara paane k liye dua hi kr skti hai bas.
Brother, awam k pass sirf vote dne ka hee huq hota ha jis k through woh tabdeeli la sakti ha mgr us mein bi rigging itny bry scale pe ho jati ha raaton raat sub kuch tabdel ho jata ha. Tabdeeli k liye musalsil stuggle kerna ho gi social media pe or jahan jahan bi mumkin ho sach ki awaz ko bulund kerty rehen.
Ab kuch Bitcoin ki baat ho jai,
Bitcoin aaj subh se hee $67K k around trade ho reha ha jis mein positive development hee samjhta houn, wasy bi weekend k douran market kafi slow ho jati ha or akser bri moves Monday ko hee aati han jub European or American markets open hoti han. Insha Allah May k month k douran Bitcoin price ko $70K tak toh brna chaye, Insha Allah. DYOR