Bitcoin's Resilient Price Challenges Predictions of Deep Correction
السلام علیکم
Bitcoin ki qeemat $66.9K par mazboot ha jo gehri kami ke andazey ko shak mein daal rahi ha. Crypto trader aur doosre logon ka kehna hai ke Bitcoin ka $65,000 se upar rehna yeh dikhata hai ke badi girawat ka imkaan kam hai. mary khyal say Bitcoin ne pehle hi ek bara correction dekha ha jab April 24 se May 2 tak 15% gir gaya tha jo yeh dikhata hai ke bottom qareeb ho sakta hy. Iske bawajod Bitcoin ne May 6 ko wapas $65,146 ke critical support level se upar jump kiya jo bull runs mein aam baat hai, jaise crypto commentator Starbust ne kaha
sourceAnalysts Bitcoin ki qeemat ko ghaur se dekh rahe ha khaaskar halving event ke baad jo April 20 ko hua aur peechle halvings ke muqable se. Misal ke taur par May 2020 ke halving ke bad Bitcoin ki qeemat upar gayi lekin baad mein 40% gir gayi. Kuch analysts jaise Quantum Economics ke founder ka kehna hai ke aage ka tajziya tabhi maqsad hai jab Bitcoin $70,000 se upar nikal jaye. Tab tak short-term price action kam ahmiyat rakhta ha aur breakout events market analysis ke liye zyada zaroori hy
Walaikum salam brother, Apki bat durust ha k Bitcoin guzeshata 2 weeks se $66K k around kafi resilience show ker reha ha jis se deep correction k imkanat bht kum dikhai dete han. Jub hum Bitcoin ko weekly chart pe dekhty bhan toh esi area mein accumulation nazer aati ha, trading volumes bi munasib han, RSI 56% ha, Bitcoin dominance index 54.5% or overall marketcap 2.39 trillion ha, yeh sub indicators market k healthy hony ka ishara de rehe han.
Es waqt bi Bitcoin $66,231 pe trade ho reha ha, ab dekhty han k European or American markets open hony k baad market kia rukh ikhtiar kerti ha. DYOR