Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 2 from 2 users
Re: Pakistan
by
Nanga Parbat
on 24/05/2024, 11:03:33 UTC
⭐ Merited by shahzadafzal (1) ,Xal0lex (1)
SEC Approves Spot Ether ETF with Different Process from Bitcoin ETF

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Jese K Ether spot ETF ke news Sy Ether me kafi pump aya Hai par ab phir se price reverse ke taraf move karnie lag pari Hai wo is waja se k SEC ne spot Ether  ETF ko manzoori to di lekin is baar approval ka tareeqa Bitcoin ETF se mukhtalif tha ye different aik risk ke Nazar se dekha jaraha Hai . Bitcoin ETF ko approve karne ke liye SEC ki paanch rukni committee ka vote zaroori tha jabke Ether ETF ko SEC ke ek specific department, Trading and Markets Division, ne approve kiya. Matlab ye hai ke Ether ETF ko approve karne ke liye full committee vote ki zaroorat nahi thi isliye process tez aur aasan tha.

SEC ne kuch baraay financial firms se 19b 4 form liya jo exchanges apni proposed changes ko justify karne ke liye submit karte hain magar SEC ne mazeed koi comments nahi diye. Matlab ye hai ke SEC ab approvals ko streamline kar raha hai yani jaldi aur bina ziada bureaucracy ke decisions le raha hai.



Bloomberg ETF analyst James Seyffart ne kaha ke ye procedural farq aam hai taake excessive voting requirements se bacha ja sake. Magar kuch log samajhte hain ke delegated authority ka tareeqa istemal kiya gaya taake political motivations ko chhupaya ja sake. Bitcoin ETFs ke baraks jo foran trading shuru ho gaye thay Ether ETF ko trading shuru hone mein haftay ya maheenay lag sakte hain kyunke isay abhi S-1 registration clearance ki zaroorat hai Info