Metallica X Account Hack Fake Solana Token Scam ExposedAssalam o alikum to all community, Metallica ka official X account haali mein hack kiya gaya taake ek jhootay Solana-based token, METAL ka promotion kiya ja sake. Ye waaqia us waqt aya jab celebrities ki taraf se memecoin scams ka silsila barh raha hai jese ke Caitlyn ka recent token launch. METAL token ko jhootay taur par Ticketmaster ke sath mil kar kaam karte hue dikhaya gaya jo ke concert ticket discounts aur exclusive airdrops jaise incentives offer kar raha tha. Bavajood iske ke iske waade aur polished promotional material genuine lagte the ye scam ne kai investors ko dhoka diya.

Metallica ke fans aur crypto investors ke darmiyan shak barhta gaya kyun ke posts kuch zyada hi achi lag rahi thi. Kuch logon ne is baat ko point out kiya ke shayad band apni reputation ko aise risk par nahi daalega. Phir bhi scam ki convincing nature aur graphics ne initial investment interest ko attract kiya. Hackers ne bhi jhoot bol kar kaha ke crypto payment company MoonPay ke sath mil kar kaam kar rahe hai jis ne foran inkar kar diya aur hack ko scam qarar diya.

Jab Metallica ne apne account ka control wapas haasil kiya aur jhootay posts ko delete kiya to token ki market value gir gayi. Ek chhote se arse ke liye jab ek investor ne achi returns hasil ki, phir bhi METAL token ki value 99.3% gir gayi aur ye lag bhag bekaar ho gaya. Ye waaqia celebrity endorsed cryptocurrencies ke barhte hue risks ko highlight karta hai aur crypto market ki volatility me due diligence aur shak ki ahmiyat ko ujagar karta hai.
details