Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Sayeds56
on 28/06/2024, 17:40:48 UTC
Kahan hen Gladiator Bhai ham hi naa Shuru kar Len koi discussion Kissi topic par. Ap sy kaafir dill Laga Tha Shuru Shuru my ab to ap BHI Nazar nai aaty hen. Sab kheryat to Hy naa?

Gladiator Bhai tu active ni hein ab aur reason saaf zahir hy. Bitcointalk p ab 95% gambling campaigns rah gayee hien aur Gladiator Bhai gambling campiagns k sakt khilaf hien.
Bagi discussion topic agar shorow kernay hy tu app log gambling aur non-gambling campiagns p baat cheet ker lein  Smiley

Brother, apnay ek valid concern raise kia ha, yehan pe activity gradually bht kum ho rehi or bht kum members bhan jo daily 1 post kerty han zayadeh ter occasionally hee post kerty han. Jahan tak debate or discussions k taluk ha toh es forum pe preferably hamein Bitcoin se related topis such as market trends, future outlook of Bitcoin, market analysis and your own comments, earning opportunities on Bitcoin ecosystem or aisi news/updates jo markets ko mutasir kerti han pe focus kerna chaye. Yeh meri opinion ha, laikin her banda apni merzi ka maalik ha.

Sayeds bhai kaam activity ka sab c bara reason yeh hy k campaigns bohat kaam rah gaye hein aur doorsa reason uper meine bataya hy. Campaign ky ilwa bohat kaam log hi active rehtay hien yahan p aur agar kisi ko sirf information leni hu, tu woh bhi sirf forum ya local board read kr saktah hy without making unnesseasy posts. M*iers campaign mein humaray bohat saray bhai active thay even full member waloon k liey bhi jaga thi but ab things are totally different.


Umer bhai, Gambling ki campaigns toh mein nay bi kabi join nhi ki ku k mein gambling ko sirf Islamic point of view se nhi blky akhlaqi lihaz se bi sahi nhi samjhta, laikin agr koi join kerta ha toh yeh uska personnel decision ha or perspective ha esliye mein un logon ko criticize kerna munasib nhi samjhta.

Regarding, Bitcointalk forum pe campaigns kum ho gai han, yeh baat toh durust ha mgr bhai es local board ko zindah rekhny k liay zaruri ha k hum sub yehan pe regularly apni hazri lagvaty rehen. Thanks.