Aalia Neelum Makes History as First Female Chief Justice of Lahore High Court Asslamoalikom..!
Kaya hal he ap SAB Ka?Acha to title to ap logon ny parh hi liya Hoga. To dosto ye Pakistan ki history my pehli dafa huwa he ek female lady Lahore High Court ki judge muqarrar hui hen. Or ye waqy hi my bohat achi bat he. Or ek motivation bhi he un Orton ky liye Jo samjti hen ky Orten Kaya Kar sakti hen. Or sath my Zor daar tmancha he un mardon ky munh par Jo orat KO haqeer janty hen.

Or is ky sath hi my ye bhi kehna chahun gaa ye un Orton ky liye bhi ek sabaq he ky Jo kehti hen ky orat KO Pakistan my azadi nai he. Ab wo q nai bolti ab bat Karen. Kaya musashry ny hi select nai Kiya is orat KO agar orat KO azadi naa Hoti to Kaya ye lady Kabhi high court ki judge ban sakti thi? My nai samjta ky ESA ho Sakta tha.
Acha kher ab thori guftgu is lady ky Barry my Kar Len jiss ny ye achievement hasil ki. Acha to article my likha he ky Aalia 1966 my peda hui or phr inhon ny 1995 my apna LLB Pura Kiya or khoob mehnat ki. Or 1996 my hi Yani Kuch mah bad hi inhon ny high profile cases par behas shuru kardi. Iss ky ilawa ye iss sy pehly Justice Qazi Faiz ISA ki B'nai hui legal community urge Ka bhi hissa rahi hen. Yani unhon ny kafi mehnat ki or issi mehnat ky bal booty par hi inhon ny ye muqam hasil Kiya he.