Bitcoin Starts July Bearish CPI Data May Shift TrendAssalam o alikum to all community kasy ap sab bhaio voiting khtam hu ge hu to kuch nazar market par dally
Bitcoin ne July ka aghaz bearish note par kiya hai jo pehle se umeed kiye gaye bullish trend ke asar hai. Iski badi wajahe Spot Ethereum ETFs ka 2 July ko debut na hona aur US aur German hakoomaton ka bohot zyada BTC bechna hai. Magar umeed hai ke Bitcoin aur crypto market ke liye acha waqt aa sakta hai jab CPI data 11 July ko release hoga.

Crypto analyst ka kehna hai ke CPI data rate cut ko show kar sakta hai jo Bitcoin ke liye acha ho sakta hai. Pehle bhi rate cuts ne Bitcoin prices par acha asar dala hai. CrypNuevo ka maanna hai ke agar CPI data acha aaye to market mein reversal dekhne ko mil sakta hai aur prices barh sakti hain agar Federal Reserve rate cut ka ishara de.

Baqi halkah ke abhi bearish trend chal raha hai analysis ke mutabiq BTC 1-Day chart mein recovery ki gunjaish hai. Analyst ka maanna hai ke $53,400 wick ko hissa hissa fill kiya ja sakta hai, jo weekend par kuch had tak ho chuka hai aur shayad poori tarah se fill ho. Agar price aur niche gire, to $51,700 agla support level ho sakta hai. Yahan se bounce hone par price $60,000 ki taraf ja sakti ha magar ab yeh level resistance ban chuka hai.
details