Twitter Data Leak Exposes 2.5 Billion Users to Hacker Threatsالسلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئےEk bara data breach mein almost 25 million se zyada Twitter users ke email IDs ka expose hua hai Alon Gal ke mutabiq jo Israel ki cybersecurity firm Hudson Rock ke co founder hain. Gal ne bataya ke hackers ne ye email addresses online hacking forum par public kar diye hain. Ek LinkedIn post mein unhon ne kaha ke ye database jo 23.5 million unique records par mushtamil hai, hacking, targeted phishing aur doxxing mein izafa kar sakta hai. Gal ne is leak ko intehai ahmiyat wala qarar diya aur kaha ke hackers mumkin hai Crypto Twitter accounts, high-profile accounts aur valuable usernames wale accounts ko target karenge. Mazeed siyasi aur anonymous accounts jo dedicated email use nahi karte unhein bhi compromise kiya ja sakta hai.
source Troy Hunt, jo ‘Have I Been Pwned’ ke creator hain, ne kaha ke pehle se pwned email addresses ki zyada percentage is baat ki taraf ishara karti hai ke ye emails kisi aur data breaches se li gayi hain aur phir ek vulnerable API ko query karne ke liye use hui hain. Bloomberg ki ek report ne izafa kiya ke leaked database, jo 2021 se hai, mein siyasatdan, bankers aur sahafiyon ke names aur email addresses shaamil hain. Lekin report ne note kiya ke leaked data mein sensitive tafseelat jaise ke credit card maloomat social Security numbers, ya home addresses shaamil nahi hain aur ab tak koi saboot nahi milay ke isse kisi nuqsaan ka sabab bana ho.
Major Tips You can do for Safety:
- Apne Twitter (X) account ka password change kar len aur ek strong password choose karen jisme upper case letters aur special characters zaroor shamil hon.
- Two-factor authentication ko lazmi tor par on karen aur apne account ke sath attach karen
- Agar apne Twitter account ko third-party sites ke sath connect kiya hai to unko unbind kar len.
- X muatiq phishing mail se door rahen aur bagair research ke kisi bhi link ko click na karen