Ab kuch Bitcoin market ki baat ho jai, kal CPI k data ki announcement hoi or USA mein inflation 3.2% se kum ho ker 3% ho gya ha jo k financial markets k liay yakeenin achi news thi or es news ki waja se Bitcoin price ne ek dafa phir $60K ko hit kerny ki koshish ki mgr kamyabi nahi hoi selling pressure ki waja se thori hee der mein price drop ho gai or es waqt bi Bitcoin $56,809 pe trade ho reha ha.
Going forward, MT.GOX ka fear nay abi bi market ko grip kia hoa ha mgr waqt k sath yeh sale bi absorb ho jai gi or Bitcoin dibara $60K reclaim kere ga or market dobra bullish zone mein aa jai gi, Insha Allah. DYOR
Syed Bhai March mein Bitcoin $73,000 ke all-time high tak pohanch gaya jisse log yeh sochne lage ke kya yeh is cycle ka top hai. Crypto analyst or RSI Bollinger Band % phases use karte hai kehte hain ke Bitcoin abhi second early top phase mein hai. Yeh technical indicator jo accurately cycle tops identify karta hai suggest karta hai ke Bitcoin kaafi potential rakhta hai.
CryptoCon ke mutabiq Bitcoin historically paanch distinct phases se guzarta hai bull cycles ke dauran bear market breakout, first cycle breakdown recovery second early top all-time high break aur cycle top phase. Analyst kehte hain ke Bitcoin ne teesra phase complete kar liya hai aur ab do final phases ke liye tayar hai jo usay April 2025 tak naye heights tak le ja sakte hain.
details
Important Tips for everyone Sab say phly to RSI Bollinger Band % Phases ko Monitor Karein or Market Trends par Nazar Rakhein Credible analysts se updates regularly check karein taake market cycle stages ke baare mein updated rah sakein.
Or Long-Term Investments ke liye Planning Karein Agle phases me anticipated all-time high break ko dekhte hue short-term gains ke bajaye long-term investments ke liye tayyar ha