Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Sayeds56
on 13/07/2024, 00:32:21 UTC

Syed Bhai, yeh tu apne fundamental analysis bata diey lekin agar hum Bitcoin Chart ko monthly time frame mein dekhien tu soorat haal zada waza ho jiey gi k honay kia wala hy. Phelay mera bitcoin ka chart check kerian on monthly timeframe p.


Meine Bitcoin ki monthly ranges mark ki hien. Points to note:-

-Bitcoin ny apni monthly low range reclaim ki jab woh 29,000$ ko cross kia

-Aus ky baat bitcoin nay apni range high ko test jo k 65,500$ (all time high kay pass thi).

-Ab bitcoin wapis neechay aa raha hy aur possibility hy k yeh apni mid range p support hasil keray ga ( 47,500 - 48,000$) aur wahan c dobara range high ki taraf jiey ga.


Fundamental analysis ki bi apni jaga bht ahmiyat hoti ha ku k es se apko un awamil ko samjhny mein maded milti ha jo market ko drive kerty han. Examples: CPI data aur possible change in interest rates, political factors and overall state of global economy. Yehi factors apko technical charts mein market sentiment ki shakal mein reflect hoty han.

Monthly chart pe Bitcoin ko analyze kerna bht achi baat ha ku k es se noise eliminate ho jati ha or apko market ki long term direction zayadeh clarity k sath nazer aati ha. Apka analysis durust ha k agr Bitcoin 200 days ki simple moving average ko break kerny mein fail hota ha toh 47K tak drop ho sakta ha mgr eska imkan kum nazer aata ku k ETFs mein funds inflow br reha ha or institutions dip pe Bitcoin buy ker rehe han. DYOR