Wa alaikum Salam, well yeh bohout bare samasyaa haa ajkal ky door mai q ky internet ab bunyadi zaroorto Mai agaya ha aur isky binnah iss modern world Mai survival bohout mushkil haa, government apni jagaa may be teek kar Rahe Hoge Kuch negative cheezo ko take down karny ky liya but unhy apny IT sector ko bhi daikhna chahiya ta jissy woh completely ignore kar rahy haa but agr daikh jai toh yahi sector haa jo billion dollar industry haa aur din ba din grow ho Rahe ha.
Hamary PM ny china Mai daikha ky inho ny aisa Kuch Kiya ha but unka koi alternative bhi banwaya haa Yani government half cheez ko implement kar Rahe haa Baki ka nahi sooch Rahe ( aur jaisa muhavira ha ky Neem Hakeem khatra-e-jaan) TOH yeh half knowledge ly ky implement Karwa diya toh bs ab yeh mulk ky Liya khatra-e-jan sabit ho Rahe ha. Aur yeh ik huge loss ha. Kafi logo ki rozi rotti band hojai ge yeh toh Kuch musbat kar nahi skaty but opper Sy Sahi cheez ko kharab kardiya.
I believe jis Tarah abhi loss ho Raha ha zaroor awam ky dabawo sy yeh hatwa ky koi aur jugaar lagwa dyngy jis Sy may be cheeexy thoore behtr ho
je bahi sahe kah ap ne ke internet ab basci cheexo ma ata ha jes ke baghir dunia ka guzar karna ya per chalna mushkil ho geya ha q ke aj kal har cheex es ke sath attached hote ja rahe haiin remote job se lay kar paymnt transaction tak aur school ke addmission se lay kar study tak sub kuch ab internet ke zarye hota ha aur es ke elawa jo sub se eham ha communication jes ke through hum jald he ek dusre ko inform kar sakte hain.
ab agr govt ayse cheeex ke sath game karege tu pir kia hoga like already kafi log jobless ha aur ab jo hain os se bi ap job lay rahe hain sharam en ko magar nahe ati. ab ajb log mulk ko chor ke jate ha tu pri kehte hain ke ap mulk ke sarmaya ho. abi ap ko pata ha ke es slow net ki waja se hume rozana ke hessab se ketne nuqsan ho raha ha. Jab se ye net slow huwa ha tab se ham bs nuqsan he kar rahe hain hum already ente peeche ha aur es cheez ke zarye hum aur be peche chale jayege.