Bilkul Bhai ma nay ya video dakhi the ducky bhai wali ki but ya awam ko kas kam py lagia hova ha YouTuber nay bs apni video viral karny ka lay ya bs haype create karny ka lay asa content create karty hai bs apny views ka chakar ma hoty hai zadya trah fake scripted drama karty hai agr ya bat maan bi laye jaye to police yha to 40 saalo ma bi chor ko nahe pakhar sakty hai Yha to loogo ko saalo saal lag jaty hai but yha par police nay bi kamal kar diya kah within 48 hours ka anadr choro ki pakhar liya ha zror choro ny apna bhata nu diya hu ga mojy to yahi kag raha hai baqi humry Police ka nazam itna ghanza ha punjab m jab tak inko passy na day ya hiltay bi ni hai Ya kahty hai note wakha mera mood banay oska he kam kary gay. Allah pak he reham kary mulk Pakistan ka sharo par
Agar dekha jaye toh yeh hype create karne ki koshish kam aur aek adare ko over-glorify krne ki koshish ziada lag rhi thi, mera matlb hai k video k zariye punjab police aur kuch bade naam jinka video men zikr bhi kiya gaya unko glorify kiya gaya k wo kitna acha kaam kr rhe hain aur awaam ki kitni khidmat kar rhe hain jab k agar awaam andhi na ho toh saaf nazar ata hai k kitni khidmat ki jaa rhi hai.
Jis tarha aapne kaha k hamari police mashaALLAH se saalon tak kisi chor ya mujrim ko pakarne men kamyab nai ho pati aur yahan 48 ghanton k andar andar chor ko pakar liya aur case hal kar liya.. Kuch ziada hi over hogya mere khayal se, agr dikhawa bhi karna ho toh is tarha karna chaiye k thora realistic lage.
Rahi baat Pakistani YouTubers ya content creators ki toh unke baare men kia hi kaha ja sakta hai.. Dosre mulkon k content creators aur YouTubers jab kamyab hote hain jb unke pas paisa ata hai toh khidmat-e-khalq men lag jate hain, logon ki madad krte hain ache ache kaam karte hain, lekin hamare YouTubers aur content creators gaadiyan, mehnge mehnge ghar, gadgets, aur dosri cheezen khareed khareed k show off kr rhe hote hain k wo kitne paise kama rhe hain.