Haa yeh tareeka acha ha ky Banda khud Sy Google docs Mai post likhy aur phir waha Sy copy paste kary but mairy khayal Mai iss Sy bhi easy yeh haa ky ap post likh rahy ho toh jitna bhi likh ho ap woh draft par yeh neechy submit ky button ky Sath back side link Laga hota ha draft ky name Sy waha pa click karyngy toh woh post apki jitne likhe haa utne waha pa save hojai ge aur agr usky baad phir apka page refresh ho ya Jo bhi ho apky Liya masala nahi hoga.
Je je bahi ap dono bahi ne Jo treeqe btaye hain wo dono be Kafi helpful ha aur osse use karna ek acha option ha per Mera masla Thora SA alag ha. Mera page refresh ayse nhe hota ke muje se ghalti se refresh ho jaye per aysa hota ha ke abi ma Kuch lek raha hun post aur ma ne os ma koi cheex ad Karni ha tu jaise select Karne ke Leye ma hold karta hun os jagha per tu direct google page khtm ho jata ha aur ma home screen per hota hun pir jab ma wapes google pe ata hum tu sub Kuch pehle jaisa hota ha agr ma preview be karunga tab be Chala jata ha. Ma baqi kahen aur note book ma be post ko tu lek lunga per ma asal ma es masle per preshana hun ke aysa q ho raha ha pehle tu kabi nahe huwa aur abi ye Tek kaise hoga bs abi filhal ke Leye ye be ek pareshani ha mere leeye.